iada
maiñ tumhāre sāmne tanhā khaḌā huuñ
jānā-pahchānā sā naqsh-āshnā sā
chand yādoñ kī sadā sā
sūrat-e-harf-o-navā sā
is qadar nazdīk itne paas huuñ maiñ
tum agar chāho to chhū sakte ho mujh ko
baat kar sakte ho mujh se
Daal kar mujh par nigāheñ
khol kar sab band rāheñ
apne ashkoñ se bhigo sakte ho mujh ko
tum agar chāho mirī tah meñ utar kar
naap sakte ho mirī gahrā.iyāñ sab
tol sakte ho mirī parchhā.iyāñ sab
jaan sakte ho mirī tanhā.iyoñ meñ
kaise kaise sang-reze
kitne TuuTe ḳhvāb dhuñdlī ārzūeñ
be-zabāñ lamhe shikasta roz-o-shab be-nūr saa.e
mere andar bolte haiñ
raaz mere kholte haiñ
maiñ tumheñ bhūlā nahīñ huuñ
ab bhī tum ashkoñ kī sūrat
mere andar jī rahī ho
maiñ tumhāre sāmne tanhā khaḌā huuñ
aaj bhī Dhalte hue saa.e pahan kar
tum agar chāho mirā ehsān ban kar
khol kar merī sadāqat
jhāñk kar merī tahoñ meñ
DhūñD sakte ho mujhe merī tahoñ meñ
maan sakte ho mujhe dam-sāz apnā
pyaar kar saktī ho mujh se
tum agar chāho
maiñ tumhāre sāmne khaḌā huuñ
main tumhaare samne tanha khaDa hun
jaana-pahchana sa naqsh-ashna sa
chand yaadon ki sada sa
surat-e-harf-o-nawa sa
is qadar nazdik itne pas hun main
tum agar chaho to chhu sakte ho mujh ko
baat kar sakte ho mujh se
Dal kar mujh par nigahen
khol kar sab band rahen
apne ashkon se bhigo sakte ho mujh ko
tum agar chaho meri tah mein utar kar
nap sakte ho meri gahraiyan sab
tol sakte ho meri parchhaiyan sab
jaan sakte ho meri tanhaiyon mein
kaise kaise sang-reze
kitne TuTe KHwab dhundli aarzuen
be-zaban lamhe shikasta roz-o-shab be-nur sae
mere andar bolte hain
raaz mere kholte hain
main tumhein bhula nahin hun
ab bhi tum ashkon ki surat
mere andar ji rahi ho
main tumhaare samne tanha khaDa hun
aaj bhi Dhalte hue sae pahan kar
tum agar chaho mera ehsan ban kar
khol kar meri sadaqat
jhank kar meri tahon mein
DhunD sakte ho mujhe meri tahon mein
man sakte ho mujhe dam-saz apna
pyar kar sakti ho mujh se
tum agar chaho
main tumhaare samne khaDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.