ai matawalo! naqon walo!!
ai matavālo nāqoñ vaalo dete ho kuchh us kā patā
najd ke andar majnūñ naamī ek hamārā bhaa.ī thā
āḳhir us par kyā kuchh biitī jaano to ahvāl kaho
maut milī yā lailā pā.ī? dīvāne kā ma.aal kaho
aql kī bāteñ kahne vaale dostoñ ne use samjhāyā
us ko to lekin chup sī lagī thī nā bolā nā baaz aayā
ḳhair ab us kī baat ko chhoḌo dīvānā phir dīvānā
jaate jaate ham logoñ kā ek sandesā le jaanā
āvāra āvāra phirnā chhoḌ ke mañDlī yāroñ kī
dekh rahe haiñ dekhne vaale 'inshā' kā ab haal vahī
kyā achchhā ḳhush-bāsh javāñ thā jaane kyuuñ bīmār huā
uThte baiThte miir kī baiteñ paḌhnā us kā shi.ār huā
taur-tarīqa ukhḌā-ukhḌā chehrā piilā saḳht malūl
raah meñ jaise ḳhaak pe koī maslā maslā baaġh kā phuul
shaam savere baal bikhere baiThā baiThā rotā hai
nāqoñ vālo! in logoñ kā aalam kaisā hotā hai
apnā bhī vo dost thā ham bhī paas us ke baiTh aate haiñ
idhar udhar ke qisse kah ke jī us kā bahlāte haiñ
ukhḌī-ukhḌī baat kare hai bhuul ke aglā yārānā
kaun ho tum kis kaam se aa.e? ham ne na tum ko pahchānā
jaane ye kis ne choT lagā.ī jaane ye kis ko pyaar kare
tumhī kaho ham kis ko DhūñDeñ aaheñ khīñche naam na le
piit meñ aise jaan se yaaro kitne log guzarte haiñ
piit meñ nāhaq mar nahīñ jaate piit to saare karte haiñ
ai matvālo nāqoñ vālo! nagrī nagrī jaate ho
kahīñ jo us kī jaan kā bairī mil jaa.e ye baat kaho
chāk-girebāñ ik dīvāna phirtā hai hairāñ hairāñ
patthar se sar phoḌ maregā dīvāne ko sabr kahāñ
tum chāho to bastī chhoḌe tum chāho to dasht basā.e
ai matavālo nāqoñ vaalo varna ik din ye hogā
tum logoñ se aate jaate pūchheñge 'inshā' kā patā
ai matawalo naqon walo dete ho kuchh us ka pata
najd ke andar majnun nami ek hamara bhai tha
aaKHir us par kya kuchh biti jaano to ahwal kaho
maut mili ya laila pai? diwane ka maal kaho
aql ki baaten kahne wale doston ne use samjhaya
us ko to lekin chup si lagi thi na bola na baz aaya
KHair ab us ki baat ko chhoDo diwana phir diwana
jate jate hum logon ka ek sandesa le jaana
aawara aawara phirna chhoD ke manDli yaron ki
dekh rahe hain dekhne wale 'insha' ka ab haal wahi
kya achchha KHush-bash jawan tha jaane kyun bimar hua
uThte baiThte mir ki baiten paDhna us ka shiar hua
taur-tariqa ukhDa-ukhDa chehra pila saKHt malul
rah mein jaise KHak pe koi masla masla bagh ka phul
sham sawere baal bikhere baiTha baiTha rota hai
naqon walo! in logon ka aalam kaisa hota hai
apna bhi wo dost tha hum bhi pas us ke baiTh aate hain
idhar udhar ke qisse kah ke ji us ka bahlate hain
ukhDi-ukhDi baat kare hai bhul ke agla yarana
kaun ho tum kis kaam se aae? hum ne na tum ko pahchana
jaane ye kis ne choT lagai jaane ye kis ko pyar kare
tumhi kaho hum kis ko DhunDen aahen khinche nam na le
pit mein aise jaan se yaro kitne log guzarte hain
pit mein nahaq mar nahin jate pit to sare karte hain
ai matwalo naqon walo! nagri nagri jate ho
kahin jo us ki jaan ka bairi mil jae ye baat kaho
chaak-gireban ek diwana phirta hai hairan hairan
patthar se sar phoD marega diwane ko sabr kahan
tum chaho to basti chhoDe tum chaho to dasht basae
ai matawalo naqon walo warna ek din ye hoga
tum logon se aate jate puchhenge 'insha' ka pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.