billu ka basta
chhoTī sī billū
chhoTā sā basta
Thūñsā hai jis meñ
kāġhaz kā dasta
lakḌī kā ghoḌā
ruī kā bhālū
chūran kī shīshī
aalū kachālū
billū kā basta
jin kī piTārī
jab is ko dekho
pahle se bhārī
laTTū bhī is meñ
rassī bhī is meñ
DañDā bhī is meñ
gillī bhī is meñ
ai pyārī billū
ye to batāo
kyā kaam karne
schōl jaao
urdu na jaano
english na jaano
kahtī ho ḳhud ko
bilqīs baano
umr kī itnī
kachchī nahīñ ho
chhe saal kī ho
bachchī nahīñ ho
bāhar nikālo
lakḌī kā ghoḌā
ye laTTū rassī
ye gillī DañDā
guḌiyā ke juute
jampar jurābeñ
baste meñ rakkho
apnī kitābeñ
muñh na banāo
schōl jaao
ai pyārī billū
ai pyārī billū
chhoTi si billu
chhoTa sa basta
Thunsa hai jis mein
kaghaz ka dasta
lakDi ka ghoDa
rui ka bhaalu
churan ki shishi
aalu kachaalu
billu ka basta
jin ki piTari
jab is ko dekho
pahle se bhaari
laTTu bhi is mein
rassi bhi is mein
DanDa bhi is mein
gilli bhi is mein
ai pyari billu
ye to batao
kya kaam karne
school jao
urdu na jaano
english na jaano
kahti ho KHud ko
bilqis bano
umr ki itni
kachchi nahin ho
chhe sal ki ho
bachchi nahin ho
bahar nikalo
lakDi ka ghoDa
ye laTTu rassi
ye gilli DanDa
guDiya ke jute
jampar juraben
baste mein rakkho
apni kitaben
munh na banao
school jao
ai pyari billu
ai pyari billu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.