dil pit ki aag mein jalta hai
dil piit kī aag meñ jaltā hai haañ jaltā rahe use jalne do
is aag se logo duur raho ThanDī na karo pañkhā na jhalo
ham raat dinā yuuñ hī ghulte raheñ koī pūchhe ki ham ko nā pūchhe
koī sājan ho yā dushman ho tum zikr kisī kā mat chheḌo
sab jaan ke sapne dekhte haiñ sab jaan ke dhoke khāte haiñ
ye dīvāne saada hī sahī par itne bhī saada nahīñ yaaro
kis baiThī tapish ke mālik haiñ ThiThurī huī aag ke añgiyāre
tum ne kabhī señkā hī nahīñ tum kyā samjho tum kyā jaano
dil piit kī aag meñ jaltā hai haañ jaltā hai ise jalne do
is aag se tum to duur raho ThanDī na karo pañkhā na jhalo
har mahfil meñ ham donoñ kī kyā kyā nahīñ bāteñ hotī haiñ
in bātoñ kā mafhūm hai kyā tum kyā samjho tum kyā jaano
dil chal ke laboñ tak aa na sakā lab khul na sake ġham jā na sakā
apnā to bas itnā qissa thā tum apnī sunāo apnī kaho
vo shaam kahāñ vo raat kahāñ vo vaqt kahāñ vo baat kahāñ
jab marte the marne na diyā ab jiite haiñ ab jiine do
dil piit kī aag meñ jaltā hai haañ jaltā rahe ise jalne do
is aag se 'inshā' duur raho ThanDī na karo pañkhā na jhalo
logoñ kī to bāteñ sachchī haiñ aur dil kā bhī kahnā karnā huā
par baat hamārī maano to yā un ke bano yā apne raho
raahī bhī nahīñ rahzan bhī nahīñ bijlī bhī nahīñ ḳhirman bhī nahīñ
aisā bhī bhalā hotā hai kahīñ tum bhī to ajab dīvāne ho
is khel meñ har baat apnī kahāñ jiit apnī kahāñ maat apnī kahāñ
yā khel se yaksar uTh jaao yā jaatī baazī jaane do
dil piit kī aag meñ jaltā hai
dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe use jalne do
is aag se logo dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo
hum raat dina yun hi ghulte rahen koi puchhe ki hum ko na puchhe
koi sajan ho ya dushman ho tum zikr kisi ka mat chheDo
sab jaan ke sapne dekhte hain sab jaan ke dhoke khate hain
ye diwane sada hi sahi par itne bhi sada nahin yaro
kis baiThi tapish ke malik hain ThiThuri hui aag ke angiyare
tum ne kabhi senka hi nahin tum kya samjho tum kya jaano
dil pit ki aag mein jalta hai han jalta hai ise jalne do
is aag se tum to dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo
har mahfil mein hum donon ki kya kya nahin baaten hoti hain
in baaton ka mafhum hai kya tum kya samjho tum kya jaano
dil chal ke labon tak aa na saka lab khul na sake gham ja na saka
apna to bas itna qissa tha tum apni sunao apni kaho
wo sham kahan wo raat kahan wo waqt kahan wo baat kahan
jab marte the marne na diya ab jite hain ab jine do
dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe ise jalne do
is aag se 'insha' dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo
logon ki to baaten sachchi hain aur dil ka bhi kahna karna hua
par baat hamari mano to ya un ke bano ya apne raho
rahi bhi nahin rahzan bhi nahin bijli bhi nahin KHirman bhi nahin
aisa bhi bhala hota hai kahin tum bhi to ajab diwane ho
is khel mein har baat apni kahan jit apni kahan mat apni kahan
ya khel se yaksar uTh jao ya jati bazi jaane do
dil pit ki aag mein jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.