ek laDka
ek chhoTā sā laḌkā thā maiñ jin dinoñ
ek mele meñ pahuñchā humaktā huā
jī machaltā thā ek ek shai par
jaib ḳhālī thī kuchh mol le na sakā
lauT aayā liye hasrateñ saiñkaḌoñ
ek chhoTā sā laḌkā thā maiñ jin dinoñ
ḳhair mahrūmiyoñ ke vo din to ga.e
aaj mela lagā hai usī shaan se
aaj chāhūñ to ik ik dukāñ mol luuñ
aaj chāhūñ to saarā jahāñ mol luuñ
nā-rasā.ī kā ab jī meñ dhaḌkā kahāñ
par vo chhoTā sā alhaḌ sā laḌkā kahāñ
ek chhoTa sa laDka tha main jin dinon
ek mele mein pahuncha humakta hua
ji machalta tha ek ek shai par
jaib KHali thi kuchh mol le na saka
lauT aaya liye hasraten sainkaDon
ek chhoTa sa laDka tha main jin dinon
KHair mahrumiyon ke wo din to gae
aaj mela laga hai usi shan se
aaj chahun to ek ek dukan mol lun
aaj chahun to sara jahan mol lun
na-rasai ka ab ji mein dhaDka kahan
par wo chhoTa sa alhaD sa laDka kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.