jhulsi si ek basti mein
haañ dekhā kal ham ne us ko dekhne kā jise armāñ thā
vo jo apne shahr se aage qarya-e-bāġh-o-bahārāñ thā
soch rahā huuñ jañg se pahle, jhulsī sī is bastī meñ
kaisā kaisā ghar kā mālik, kaisā kaisā mehmāñ thā
sab galiyoñ meñ taranjan the aur har taranjan meñ sakhiyāñ thiiñ
sab ke jī meñ aane vaalī kal kā shauq-e-farāvāñ thā
meloñ Theloñ bājoñ gājoñ bārātoñ kī dhūmeñ thiiñ
aaj koī dekhe to samjhe, ye to sadā bayābāñ thā
chāroñ jānib ThanDe chūlhe, ujḌe ujḌe āñgan haiñ
varna har ghar meñ the kamre, har kamre meñ sāmāñ thā
ujlī aur pur-nūr shabīheñ roz namāz ko aatī thiiñ
masjid ke in tāqoñ meñ bhī kyā kyā diyā farozāñ thā
ujḌī manDī, lāġhar kutte, TuuTe khambe ḳhālī khet
kyā is nahr ke pul ke aage aisā shahr-e-ḳhamoshāñ thā
aaj ki ik roTī kī ḳhātir card dikhātā phirtā hai
puure kamp ko roTī de de aisā aisā dahqāñ thā
taab nahīñ har ek se pūchheñ baabā tujh par kyā guzrī
ek ko rok ke pūchhā ham ne, siina us kā baryāñ thā
bolā log to aa.eñ jaa.eñ bastī ko phir basnā hai
mere tinkoñ kī ḳhātir aayā saarā tūfāñ thā
aag ke andar aur tapish hai, aag ke bāhar aur hī aañch
shāyad koī divānā hogā be-shak chāk-girebāñ thā
han dekha kal hum ne us ko dekhne ka jise arman tha
wo jo apne shahr se aage qarya-e-bagh-o-bahaaran tha
soch raha hun jang se pahle, jhulsi si is basti mein
kaisa kaisa ghar ka malik, kaisa kaisa mehman tha
sab galiyon mein taranjan the aur har taranjan mein sakhiyan thin
sab ke ji mein aane wali kal ka shauq-e-farawan tha
melon Thelon bajon gajon baraaton ki dhumen thin
aaj koi dekhe to samjhe, ye to sada bayaban tha
chaaron jaanib ThanDe chulhe, ujDe ujDe aangan hain
warna har ghar mein the kamre, har kamre mein saman tha
ujli aur pur-nur shabihen roz namaz ko aati thin
masjid ke in taqon mein bhi kya kya diya farozan tha
ujDi manDi, laghar kutte, TuTe khambe KHali khet
kya is nahr ke pul ke aage aisa shahr-e-KHamoshan tha
aaj ki ek roTi ki KHatir card dikhata phirta hai
pure kamp ko roTi de de aisa aisa dahqan tha
tab nahin har ek se puchhen baba tujh par kya guzri
ek ko rok ke puchha hum ne, sina us ka baryan tha
bola log to aaen jaen basti ko phir basna hai
mere tinkon ki KHatir aaya sara tufan tha
aag ke andar aur tapish hai, aag ke bahar aur hi aanch
shayad koi diwana hoga be-shak chaak-gireban tha
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.