log puchhenge
log pūchheñge kyuuñ udaas ho tum
aur jo dil meñ aa.e so kahiyo!
'yūñhī māhaul kī girānī hai'
'din ḳhizāñ ke zarā udaas se haiñ'
kitne bojhal haiñ shaam ke saa.e
un kī bābat ḳhamosh hī rahiyo
naam un kā na darmiyāñ aa.e
naam un kā na darmiyāñ aa.e
un kī bābat ḳhamosh hī rahiyo
'kitne bojhal haiñ shaam ke saa.e'
'din ḳhizāñ ke zarā udaas se haiñ'
'yūñhī māhaul kī girānī hai'
aur jo dil meñ aa.e sau kahiyo
log pūchheñge kyuuñ udaas ho tum?
log puchhenge kyun udas ho tum
aur jo dil mein aae so kahiyo!
'yunhi mahaul ki girani hai'
'din KHizan ke zara udas se hain'
kitne bojhal hain sham ke sae
un ki babat KHamosh hi rahiyo
nam un ka na darmiyan aae
nam un ka na darmiyan aae
un ki babat KHamosh hi rahiyo
'kitne bojhal hain sham ke sae'
'din KHizan ke zara udas se hain'
'yunhi mahaul ki girani hai'
aur jo dil mein aae sau kahiyo
log puchhenge kyun udas ho tum?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.