munni tere dant kahan hain
munnī tere daañt kahāñ haiñ
daañt the maiñ ne duudh pilā kar saat baras meñ paale
aa kar un ko le ga.e chūhe lambī moñchhoñ vaale
guḌ kā un ko maaT milā thā mīThā aur mazedār
laakh ḳhushāmad kar ke mujh se le liye daañt udhār
munnī tere daañt kahāñ haiñ
billī thī ik maamī mausī chupke chupke aa.ī
panjoñ par thī deg kī khurchan hoñToñ par bālā.ī
bolī guḌ ke maaT pe maiñ ne chūhe dekhe chaar
hissa ādhoñ-ādh rahegā de do daañt udhār
munnī tere daañt kahāñ haiñ
ba.ad meñ būḌhā motī aayā ronī shakl banā.e
bolā biibī is billī kā kuchh to kareñ upaa.e
duudh na chhoḌe gosht na chhoḌe haiñ buDDhā lāchār
is ko karūñ shikār jo mujh ko de do daañt udhār
achchhī munnī tum ne apne itne daañt gañvā.e
kuchh chūhoñ ne kuchh billī ne kuchh motī ne paa.e
baaqī jo do-chār rahe haiñ vo ham ko dilvāo
ik dāvat meñ aaj mileñge tikke aur polāv
murġhī ke paa.e kā sālan baigan kā āchār
dogī yā kisī aur se māñgūñ
haañ diye udhār
baabā haañ haañ diye udhār
munnī tere daañt kahāñ haiñ
munni tere dant kahan hain
dant the main ne dudh pila kar sat baras mein pale
aa kar un ko le gae chuhe lambi monchhon wale
guD ka un ko maT mila tha miTha aur mazedar
lakh KHushamad kar ke mujh se le liye dant udhaar
munni tere dant kahan hain
billi thi ek mami mausi chupke chupke aai
panjon par thi deg ki khurchan honTon par baalai
boli guD ke maT pe main ne chuhe dekhe chaar
hissa aadhon-adh rahega de do dant udhaar
munni tere dant kahan hain
baad mein buDha moti aaya roni shakl banae
bola bibi is billi ka kuchh to karen upae
dudh na chhoDe gosht na chhoDe hain buDDha lachaar
is ko karun shikar jo mujh ko de do dant udhaar
achchhi munni tum ne apne itne dant ganwae
kuchh chuhon ne kuchh billi ne kuchh moti ne pae
baqi jo do-chaar rahe hain wo hum ko dilwao
ek dawat mein aaj milenge tikke aur polaw
murghi ke pae ka salan baigan ka aachaar
dogi ya kisi aur se mangun
han diye udhaar
baba han han diye udhaar
munni tere dant kahan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.