phir sham hui
phailtā phailtā shām-e-ġham kā dhuāñ
ik udāsī kā tantā huā sā.ebāñ
ūñche ūñche mināroñ ke sar pe ravāñ
dekh pahuñchā hai āḳhir kahāñ se kahāñ
jhāñktā sūrat-e-ḳhail-e-āvārgāñ
ġhurfa ġhurfa bahr kāḳh-o-kū shahr meñ
daf.atan sail-e-zulmāt ko chīrtā
jal uThā duur bastī kā pahlā diyā
panchhiyoñ ne bhī pachchhim kā rasta liyā
ḳhair jaao azīzo magar dekhnā
ek jugnū bhī mish.al sī le ke chalā
hai use bhī koī justujū shahr meñ?
āsmāñ par ravāñ surma.ī bādalo
haañ tumhīñ kyā uḌo aur ūñche uḌo
bāġh-e-ālam ke taaza shagufta gulū
be-niyāzāna mahkā karo ḳhush raho
lekin itnā bhī sochā, kabhī zālimo!
ham bhī haiñ āshiq-e-rañg-o-bū shahr meñ
koī dekhe ye majbūriyāñ dūriyāñ
ek hī shahr meñ ham kahāñ tum kahāñ
dostoñ ne bhī chhoḌī haiñ dil-dāriyāñ
aaj vaqf-e-ġham-e-ulfat-e-rā.egāñ
ham jo phirte haiñ vahshat-zada sargirāñ
the kabhī sāhib-e-ābrū shahr meñ
log tānoñ se kyā kyā jatāte nahīñ
aise raahī to manzil ko paate nahīñ
jī se ik dūsre ko bhulāte nahīñ
sāmne bhī magar aate jaate nahīñ
aur jaa.eñ to āñkheñ milāte nahīñ
haa.e kyā kyā nahīñ guftugū shahr meñ
chāñd niklā hai dāġhoñ kī mish.al liye
duur girjā ke mīnāroñ kī oT se
aa mirī jaan aa ek se do bhale
aaj phere kareñ kūcha-e-yār ke
aur hai kaun dard-āshnā bāvare!
ek maiñ shahr meñ, ek tū shahr meñ
phailta phailta sham-e-gham ka dhuan
ek udasi ka tanta hua saeban
unche unche minaron ke sar pe rawan
dekh pahuncha hai aaKHir kahan se kahan
jhankta surat-e-KHail-e-awargan
ghurfa ghurfa bahr kaKH-o-ku shahr mein
dafatan sail-e-zulmat ko chirta
jal uTha dur basti ka pahla diya
panchhiyon ne bhi pachchhim ka rasta liya
KHair jao azizo magar dekhna
ek jugnu bhi mishal si le ke chala
hai use bhi koi justuju shahr mein?
aasman par rawan surmai baadalo
han tumhin kya uDo aur unche uDo
bagh-e-alam ke taza shagufta gulu
be-niyazana mahka karo KHush raho
lekin itna bhi socha, kabhi zalimo!
hum bhi hain aashiq-e-rang-o-bu shahr mein
koi dekhe ye majburiyan duriyan
ek hi shahr mein hum kahan tum kahan
doston ne bhi chhoDi hain dil-dariyan
aaj waqf-e-gham-e-ulfat-e-raegan
hum jo phirte hain wahshat-zada sargiran
the kabhi sahib-e-abru shahr mein
log tanon se kya kya jatate nahin
aise rahi to manzil ko pate nahin
ji se ek dusre ko bhulate nahin
samne bhi magar aate jate nahin
aur jaen to aankhen milate nahin
hae kya kya nahin guftugu shahr mein
chand nikla hai daghon ki mishal liye
dur girja ke minaron ki oT se
aa meri jaan aa ek se do bhale
aaj phere karen kucha-e-yar ke
aur hai kaun dard-ashna baware!
ek main shahr mein, ek tu shahr mein
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.