sab maya hai
sab maayā hai, sab Dhaltī phirtī chhāyā hai
is ishq meñ ham ne jo khoyā jo paayā hai
jo tum ne kahā hai, 'faiz' ne jo farmāyā hai
sab maayā hai
haañ gaahe gaahe diid kī daulat haath aa.ī
yā ek vo lazzat naam hai jis kā rusvā.ī
bas is ke sivā to jo bhī savāb kamāyā hai
sab maayā hai
ik naam to baaqī rahtā hai, gar jaan nahīñ
jab dekh liyā is saude meñ nuqsān nahīñ
tab sham.a pe dene jaan patiñgā aayā hai
sab maayā hai
ma.alūm hameñ sab qais miyāñ kā qissa bhī
sab ek se haiñ, ye rāñjhā bhī ye 'inshā' bhī
farhād bhī jo ik nahr sī khod ke laayā hai
sab maayā hai
kyuuñ dard ke naame likhte likhte raat karo
jis saat samundar paar kī naar kī baat karo
us naar se koī ek ne dhokā khāyā hai?
sabab maayā hai
jis gorī par ham ek ġhazal har shaam likheñ
tum jānte ho ham kyūñkar us kā naam likheñ
dil us kī bhī chaukhaT chuum ke vāpas aayā hai
sab maayā hai
vo laḌkī bhī jo chāñd-nagar kī raanī thī
vo jis kī alhaḌ āñkhoñ meñ hairānī thī
aaj us ne bhī paiġhām yahī bhijvāyā hai
sab maayā hai
jo log abhī tak naam vafā kā lete haiñ
vo jaan ke dhoke khāte, dhoke dete haiñ
haañ Thok-bajā kar ham ne hukm lagāyā hai
sab maayā hai
jab dekh liyā har shaḳhs yahāñ harjā.ī hai
is shahr se duur ik kuTiyā ham ne banā.ī hai
aur us kuTiyā ke māthe par likhvāyā hai
sab maayā hai
sab maya hai, sab Dhalti phirti chhaya hai
is ishq mein hum ne jo khoya jo paya hai
jo tum ne kaha hai, 'faiz' ne jo farmaya hai
sab maya hai
han gahe gahe did ki daulat hath aai
ya ek wo lazzat nam hai jis ka ruswai
bas is ke siwa to jo bhi sawab kamaya hai
sab maya hai
ek nam to baqi rahta hai, gar jaan nahin
jab dekh liya is saude mein nuqsan nahin
tab shama pe dene jaan patinga aaya hai
sab maya hai
malum hamein sab qais miyan ka qissa bhi
sab ek se hain, ye ranjha bhi ye 'insha' bhi
farhad bhi jo ek nahr si khod ke laya hai
sab maya hai
kyun dard ke name likhte likhte raat karo
jis sat samundar par ki nar ki baat karo
us nar se koi ek ne dhoka khaya hai?
sabab maya hai
jis gori par hum ek ghazal har sham likhen
tum jaante ho hum kyunkar us ka nam likhen
dil us ki bhi chaukhaT chum ke wapas aaya hai
sab maya hai
wo laDki bhi jo chand-nagar ki rani thi
wo jis ki alhaD aankhon mein hairani thi
aaj us ne bhi paigham yahi bhijwaya hai
sab maya hai
jo log abhi tak nam wafa ka lete hain
wo jaan ke dhoke khate, dhoke dete hain
han Thok-baja kar hum ne hukm lagaya hai
sab maya hai
jab dekh liya har shaKHs yahan harjai hai
is shahr se dur ek kuTiya hum ne banai hai
aur us kuTiya ke mathe par likhwaya hai
sab maya hai
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.