Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bachcha kis ka bachcha hai

Ibn e Insha

ye bachcha kis ka bachcha hai

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    Interesting Fact

    habsha yaa ereteriya ke qaht-zada ilaaqon men zindagii ki arzaani dekh kar ye nazm wajud men aai . jahaan insaano.n aur maveshiyon ke galle daane aur paani ki talaash men bhatakte bhatakte gir kar jaan de dete hain . ibn-e-inshaa ki is nazm kaa intisaab unicef ke naam hai jo duniya bhar men bhuke bachchon ke liye qabil-e-qadr kaarnaama anjaam de rahi hai.

    1

    ye bachcha kaisā bachcha hai

    ye bachcha kaalā kaalā

    ye kaalā maTiyālā

    ye bachcha bhūkā bhūkā

    ye bachcha sūkhā sūkhā

    ye bachcha kis bachcha hai

    ye bachcha kaisā bachcha hai

    jo ret pe tanhā baiThā hai

    is ke peT meñ roTī hai

    is ke tan par kapḌā hai

    is ke sar par Topī hai

    is ke pair meñ juutā hai

    is ke paas khilaunoñ meñ

    koī bhālū hai, koī ghoḌā hai

    is bahlāne ko

    koī lorī hai, koī jhūlā hai

    is jeb meñ dhelā hai

    is ke haath meñ paisā hai

    is ke ammī abbū haiñ

    is aapā ḳhālā hai

    ye saare jag meñ tanhā hai

    ye bachcha kaisā bachcha hai

    2

    ye sahrā kaisā sahrā hai

    is sahrā meñ bādal hai

    is sahrā meñ barkhā hai

    is sahrā meñ baalī hai

    is sahrā meñ ḳhoshā hai

    is sahrā meñ sabza hai

    is sahrā meñ saayā hai

    ye sahrā bhuuk sahrā hai

    ye sahrā maut sahrā hai

    3

    ye bachcha kaise baiThā hai

    ye bachcha kab se baiThā hai

    ye bachcha kyā kuchh pūchhtā hai

    ye bachcha kyā kuchh kahtā hai

    ye duniyā kaisī duniyā hai

    ye duniyā kis duniyā hai

    4

    is duniyā ke kuchh TukḌoñ meñ

    kahīñ phuul khile kahīñ sabza hai

    kahīñ bādal ghir ghir aate haiñ

    kahīñ chashma hai kahīñ dariyā hai

    kahīñ ūñche mahl aTāriyāñ haiñ

    kahīñ mahfil hai kahīñ melā hai

    kahīñ kapḌoñ ke bāzār saje

    ye resham hai ye diibā hai

    kahīñ ġhalle ke ambār lage

    sab gehūñ dhaan muhayyā hai

    kahīñ daulat ke sandūq bhare

    haañ tāñbā sonā ruupā hai

    tum jo māñgo so hāzir hai

    tum jo chāho so miltā hai

    is bhuuk ke dukh duniyā meñ

    ye kaisā sukh sapnā hai

    vo kis dhartī ke TukḌe haiñ

    ye kis duniyā hissa hai

    5

    ham jis aadam ke beTe haiñ

    ye us aadam beTā hai

    ye aadam ek aadam hai

    ye gorā hai kaalā hai

    ye dhartī ek dhartī hai

    ye duniyā ek duniyā hai

    sab ik daatā ke bande haiñ

    sab bandoñ ik daatā hai

    kuchh pūrab pachchham farq nahīñ

    is dhartī par haq sab hai

    6

    ye tanhā bachcha be-chāra

    ye bachcha jo yahāñ baiThā hai

    is bachche kahīñ bhuuk miTe

    (kyā mushkil hai ho saktā hai)

    is bachche ko kahīñ duudh mile

    (haañ duudh yahāñ bahterā hai)

    is bachche koī tan Dhāñke

    (kyā kapḌoñ yahāñ toḌā hai)

    is bachche ko koī god meñ le

    (insān jo ab tak zinda hai)

    phir dekhe kaisā bachcha hai

    ye kitnā pyārā bachcha hai

    7

    is jag meñ sab kuchh rab hai

    jo rab hai vo sab hai

    sab apne haiñ koī ġhair nahīñ

    har chiiz meñ sab sājhā hai

    jo baḌhtā hai jo ugtā hai

    vo daanā hai meva hai

    jo kapḌā hai jo kambal hai

    jo chāñdī hai jo sonā hai

    vo saarā hai is bachche

    jo terā hai jo merā hai

    ye bachcha kis bachcha hai

    ye bachcha sab bachcha hai!

    1

    ye bachcha kaisa bachcha hai

    ye bachcha kala kala sa

    ye kala sa maTiyala sa

    ye bachcha bhuka bhuka sa

    ye bachcha sukha sukha sa

    ye bachcha kis ka bachcha hai

    ye bachcha kaisa bachcha hai

    jo ret pe tanha baiTha hai

    na is ke peT mein roTi hai

    na is ke tan par kapDa hai

    na is ke sar par Topi hai

    na is ke pair mein juta hai

    na is ke pas khilaunon mein

    koi bhaalu hai, koi ghoDa hai

    na is ka ji bahlane ko

    koi lori hai, koi jhula hai

    na is ki jeb mein dhela hai

    na is ke hath mein paisa hai

    na is ke ammi abbu hain

    na is ki aapa KHala hai

    ye sare jag mein tanha hai

    ye bachcha kaisa bachcha hai

    2

    ye sahra kaisa sahra hai

    na is sahra mein baadal hai

    na is sahra mein barkha hai

    na is sahra mein baali hai

    na is sahra mein KHosha hai

    na is sahra mein sabza hai

    na is sahra mein saya hai

    ye sahra bhuk ka sahra hai

    ye sahra maut ka sahra hai

    3

    ye bachcha kaise baiTha hai

    ye bachcha kab se baiTha hai

    ye bachcha kya kuchh puchhta hai

    ye bachcha kya kuchh kahta hai

    ye duniya kaisi duniya hai

    ye duniya kis ki duniya hai

    4

    is duniya ke kuchh TukDon mein

    kahin phul khile kahin sabza hai

    kahin baadal ghir ghir aate hain

    kahin chashma hai kahin dariya hai

    kahin unche mahl aTariyan hain

    kahin mahfil hai kahin mela hai

    kahin kapDon ke bazar saje

    ye resham hai ye diba hai

    kahin ghalle ke ambar lage

    sab gehun dhan muhayya hai

    kahin daulat ke sanduq bhare

    han tanba sona rupa hai

    tum jo mango so hazir hai

    tum jo chaho so milta hai

    is bhuk ke dukh ki duniya mein

    ye kaisa sukh ka sapna hai

    wo kis dharti ke TukDe hain

    ye kis duniya ka hissa hai

    5

    hum jis aadam ke beTe hain

    ye us aadam ka beTa hai

    ye aadam ek hi aadam hai

    ye gora hai ya kala hai

    ye dharti ek hi dharti hai

    ye duniya ek hi duniya hai

    sab ek data ke bande hain

    sab bandon ka ek data hai

    kuchh purab pachchham farq nahin

    is dharti par haq sab ka hai

    6

    ye tanha bachcha be-chaara

    ye bachcha jo yahan baiTha hai

    is bachche ki kahin bhuk miTe

    (kya mushkil hai ho sakta hai)

    is bachche ko kahin dudh mile

    (han dudh yahan bahtera hai)

    is bachche ka koi tan Dhanke

    (kya kapDon ka yahan toDa hai)

    is bachche ko koi god mein le

    (insan jo ab tak zinda hai)

    phir dekhe kaisa bachcha hai

    ye kitna pyara bachcha hai

    7

    is jag mein sab kuchh rab ka hai

    jo rab ka hai wo sab ka hai

    sab apne hain koi ghair nahin

    har chiz mein sab ka sajha hai

    jo baDhta hai jo ugta hai

    wo dana hai ya mewa hai

    jo kapDa hai jo kambal hai

    jo chandi hai jo sona hai

    wo sara hai is bachche ka

    jo tera hai jo mera hai

    ye bachcha kis ka bachcha hai

    ye bachcha sab ka bachcha hai!

    Source :
    • Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 193)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now