ibn-e-ziyaad ka farman
tumhārī haDDiyāñ muḌtī nahīñ haiñ
rahm-e-mādar se nikalne ke liye betāb ho
sote raho ye ghar grihastī kā zamāna hai
maveshī astabal meñ jā.eñge aur uuñT ḳheme meñ
faras ibn-e-ziyāda ke liye uzv ziyāda hai
savārī vāste mushkī hiran zanjīr karte haiñ
zamīn-e-shor se shorīda-sar ifrīt se baune
samundar se gulābī machhliyāñ
miTTī se sūraj mukh kā jañgal
chār-dīvārī se uTh kar dekhtā hai
āñganoñ meñ hal nahīñ chalte
abu-suifyān se maiñ ne sunā thā
abu-suifyān se maiñ ne sunā thā
āñganoñ kā haal ḳhemoñ kī ḳhabar ghoḌoñ ke jal jaane kā qissa
jab bidak kar bhaag uThe the maveshī uuñT sūraj-mukh sipah-zāde
abu-suifyān ke beTe
abu-suifyān se maiñ ne sunā thā
abu-suifyān se maiñ ne sunā hai
āñganoñ kī ḳhair likkhī hai ziyād-ibn-e-ziyāda ne
na.ī beleñ chaḌhā.ī haiñ purānī kursiyoñ par
mez par ḳhargosh paalā hai
ghaḌoñ meñ nāriyal kī kāsht kī hai
beach añgnā.ī meñ likkhā hai
tumhārī haDDiyāñ muḌtī nahīñ haiñ
rahm-e-mādar se nikalne ke liye betāb ho
ye ghar grihastī kā zamāna hai
maveshī astabal meñ jā.eñge aur uuñT ḳheme meñ
tumhaari haDDiyan muDti nahin hain
rahm-e-madar se nikalne ke liye betab ho
sote raho ye ghar grihasti ka zamana hai
maweshi astabal mein jaenge aur unT KHeme mein
faras ibn-e-ziyaada ke liye uzw ziyaada hai
sawari waste mushki hiran zanjir karte hain
zamin-e-shor se shorida-sar ifrit se baune
samundar se gulabi machhliyan
miTTi se suraj mukh ka jangal
chaar-diwari se uTh kar dekhta hai
aanganon mein hal nahin chalte
abu-suifyan se main ne suna tha
abu-suifyan se main ne suna tha
aanganon ka haal KHemon ki KHabar ghoDon ke jal jaane ka qissa
jab bidak kar bhag uThe the maweshi unT suraj-mukh sipah-zade
abu-suifyan ke beTe
abu-suifyan se main ne suna tha
abu-suifyan se main ne suna hai
aanganon ki KHair likkhi hai ziyaad-ibn-e-ziyaada ne
nai belen chaDhai hain purani kursiyon par
mez par KHargosh pala hai
ghaDon mein nariyal ki kasht ki hai
beach angnai mein likkha hai
tumhaari haDDiyan muDti nahin hain
rahm-e-madar se nikalne ke liye betab ho
ye ghar grihasti ka zamana hai
maweshi astabal mein jaenge aur unT KHeme mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.