ideal
merī āñkhoñ meñ koī chehra charāġh-e-ārzū
vo merā ā.īna jis se ḳhud jhalak jā.ūñ kabhī
aisā mausam jaise mai pī kar chhalak jā.ūñ kabhī
yā koī hai ḳhvāb
jo dekhā thā lekin phir mujhe
yaad karne par bhī yaad aayā na thā
dil ye kahtā hai vahī hai hū-ba-hū
jis ko dekhā thā kabhī aur sāmne paayā na thā
guftugū us se hai aur hai rū-ba-rū
ḳhvāb ho jaa.e na lekin guftugū
merī āñkhoñ meñ koī chehra charāġh-e-ārzū
meri aankhon mein koi chehra charagh-e-arzu
wo mera aaina jis se KHud jhalak jaun kabhi
aisa mausam jaise mai pi kar chhalak jaun kabhi
ya koi hai KHwab
jo dekha tha lekin phir mujhe
yaad karne par bhi yaad aaya na tha
dil ye kahta hai wahi hai hu-ba-hu
jis ko dekha tha kabhi aur samne paya na tha
guftugu us se hai aur hai ru-ba-ru
KHwab ho jae na lekin guftugu
meri aankhon mein koi chehra charagh-e-arzu
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.