idhar na dekho
idhar na dekho ki jo bahādur
qalam ke yā teġh ke dhanī the
jo azm-o-himmat ke mudda.ī the
ab un ke hāthoñ meñ sidq-e-īmāñ kī
āzmūda purānī talvār muḌ ga.ī hai
jo kaj-kulah sāhib-e-hasham the
jo ahl-e-dastār mohtaram the
havas ke pur-pech rāstoñ meñ
kulah kisī ne girau rakh dī
kisī ne dastār bech dī hai
udhar bhī dekho
jo apne ruḳhshāñ lahū ke dīnār
muft bāzār meñ luTā kar
nazar se ojhal hue
aur apnī lahad meñ is vaqt tak ġhanī haiñ,
udhar bhī dekho
jo harf-e-haq kī salīb par apnā tan sajā kar
jahāñ se ruḳhsat hue
aur ahl-e-jahāñ meñ is vaqt tak nabī haiñ
Don't Look at Them
idhar na dekho ki jo bahadur
qalam ke ya tegh ke dhani the
jo azm-o-himmat ke muddai the
ab un ke hathon mein sidq-e-iman ki
aazmuda purani talwar muD gai hai
jo kaj-kulah sahib-e-hasham the
jo ahl-e-dastar mohtaram the
hawas ke pur-pech raston mein
kulah kisi ne girau rakh di
kisi ne dastar bech di hai
udhar bhi dekho
jo apne ruKHshan lahu ke dinar
muft bazar mein luTa kar
nazar se ojhal hue
aur apni lahad mein is waqt tak ghani hain,
udhar bhi dekho
jo harf-e-haq ki salib par apna tan saja kar
jahan se ruKHsat hue
aur ahl-e-jahan mein is waqt tak nabi hain
Don't Look at Them
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 717)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.