idrak
merī paidā.ish ke baa'd
sab se pahle merī maañ paidā huī
phir dūsre rishte
ta'alluq
dard aur vābastagī
kā.enātī rishtoñ kā bār-e-garāñ
aur phir
chupke se tū paidā huī
rang
ḳhushbū
ḳhvāb sā terā vajūd
dā.era-dar-dā.era
be-karāñ vus'at sameTe
ik ikaa.ī
maiñ ne tere rang ḳhushbū ḳhvāb se
apne andar ik jahān-e-tāza kī tā'mīr kī
aur safar par chal paḌā
misl-e-mauj-e-tah-nashīñ
apne hī sāhil kāTtā
gahrā.iyoñ se jūjhtā
aage baḌhā
taht-andar-taht ke lambe safar meñ
terā paikar merā ḳhvāb
ḳhvāb merā hausla
ḳhvāb terī justujū
apnī talāsh
aaj tak garm-e-safar huuñ
andarūn-e-zāt-andar-zāt
har taraf terā vajūd
har taraf merā zuhūr
aks-andar-aks maiñ
ḳhvāb-andar-ḳhvāb tū
ḳhvāb kā ye silsila
dā.era-dar-dā.era
duur tak phailā huā
ḳhvāb kī tajsīm-kārī
zindagī merī
mirā zād-e-safar
mausamoñ kī zad pe haiñ tanhā huuñ aaj
ek bosīda shajar sā
vaqt ke nezoñ se chhalnī
zard shāḳhoñ se ta'alluq qat’ hone kā qalaq
ḳhushk pattoñ se sukaḌte TūTte rishtoñ kā ġham
aur taḌaḳhtī chhāloñ se kamzor-tar hotī huī vābastagī ke karb se ḳhasta-tar haal
dam-ba-dam nazdīk aatī dhund ke us paar se
sun rahā huuñ aane vaale mausamoñ ke tāza-dam qadmoñ kī chaap
sabz shāḳhoñ taaza pattoñ aur na.ī chhāloñ ke giit
tū kahāñ hai mere ḳhvāb
āḳhirī lamha hai
aa mirī āñkhoñ se dekh
mujh se pahle
mar rahī hai
lamha-lamha aaj
saarī kā.enāt
meri paidaish ke ba'd
sab se pahle meri man paida hui
phir dusre rishte
ta'alluq
dard aur wabastagi
kaenati rishton ka bar-e-garan
aur phir
chupke se tu paida hui
rang
KHushbu
KHwab sa tera wajud
daera-dar-daera
be-karan wus'at sameTe
ek ikai
main ne tere rang KHushbu KHwab se
apne andar ek jahan-e-taza ki ta'mir ki
aur safar par chal paDa
misl-e-mauj-e-tah-nashin
apne hi sahil kaTta
gahraiyon se jujhta
aage baDha
taht-andar-taht ke lambe safar mein
tera paikar mera KHwab
KHwab mera hausla
KHwab teri justuju
apni talash
aaj tak garm-e-safar hun
andarun-e-zat-andar-zat
har taraf tera wajud
har taraf mera zuhur
aks-andar-aks main
KHwab-andar-KHwab tu
KHwab ka ye silsila
daera-dar-daera
dur tak phaila hua
KHwab ki tajsim-kari
zindagi meri
mera zad-e-safar
mausamon ki zad pe hain tanha hun aaj
ek bosida shajar sa
waqt ke nezon se chhalni
zard shaKHon se ta'alluq qat’ hone ka qalaq
KHushk patton se sukaDte TuTte rishton ka gham
aur taDaKHti chhaalon se kamzor-tar hoti hui wabastagi ke karb se KHasta-tar haal
dam-ba-dam nazdik aati dhund ke us par se
sun raha hun aane wale mausamon ke taza-dam qadmon ki chap
sabz shaKHon taza patton aur nai chhaalon ke git
tu kahan hai mere KHwab
aaKHiri lamha hai
aa meri aankhon se dekh
mujh se pahle
mar rahi hai
lamha-lamha aaj
sari kaenat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.