idrak
vaqt dariyā kī mānind bahtā rahegā sadā
jagmagāte raheñge sitāre
yūñhī shab kī poshāk meñ
gul khilātī rahegī havā
tā-abad aab meñ, ḳhaak meñ
īstāda raheñge ḳhayābāñ ḳhayābāñ
ye sarv-o-sanobar yūñhī
sāhiloñ par yūñhī
lañgar-andāz hoñge jahāz
aur bachche yūñhī sīpiyāñ chunñe
aate raheñge sadā
yūñhī mela rahegā
zamāne ke kūchoñ meñ
bāzār meñ!
aur insān zinda rahegā sadā
ek paikār meñ
ik zamāne talak ham bhī sab kī tarah
yūñhī sochā kiye
yūñhī samjhā kiye
aur shab-o-roz kā be-nishāñ qāfila
parda-e-ġhaib meñ
gum-shuda manziloñ kī taraf
ḳhāmushī se rahā gāmzan
zindagī meñ achānak phir ik roz
ik hādsa ho gayā
jis kī shiddat se ik umr kā
sehar-e-fikr-o-nazar TuuT bikhrā
to āḳhir ye uqda khulā
vaqt dariyā hai lekin ye ḳhud
ik samundar meñ jā girtā hai
us samundar kī jānib hai
hastī kā saarā safar
aañkh ne aaj tak jitne manzar bhī dekhe
vo sab us ke
apne tarāshīda the
aur dil meñ dhaḌaktā huā
tajrīd-e-vahm-o-gumāñ ke sivā kuchh nahīñ
ārzu-e-ġham-e-āgahī aisī arzāñ nahīñ
ziist ke dūsre rāstoñ kī tarah
rāh-e-kār-e-junūñ itnī āsāñ nahīñ
hai bulandī kī jānib agar zindagī kā safar
phir to kuchh aur haiñ manzileñ aadmī ke liye
jin ke har gaam par, zindagī ke liye
hai sabāt-e-abad muntazir
āp-apnī nafī ke amal se
guzarnā paḌegā use
mahbas-e-āb-o-gil se
nikalnā paḌegā use
waqt dariya ki manind bahta rahega sada
jagmagate rahenge sitare
yunhi shab ki poshak mein
gul khilati rahegi hawa
ta-abad aab mein, KHak mein
istada rahenge KHayaban KHayaban
ye sarw-o-sanobar yunhi
sahilon par yunhi
langar-andaz honge jahaz
aur bachche yunhi sipiyan chunne
aate rahenge sada
yunhi mela rahega
zamane ke kuchon mein
bazar mein!
aur insan zinda rahega sada
ek paikar mein
ek zamane talak hum bhi sab ki tarah
yunhi socha kiye
yunhi samjha kiye
aur shab-o-roz ka be-nishan qafila
parda-e-ghaib mein
gum-shuda manzilon ki taraf
KHamushi se raha gamzan
zindagi mein achanak phir ek roz
ek hadsa ho gaya
jis ki shiddat se ek umr ka
sehar-e-fikr-o-nazar TuT bikhra
to aaKHir ye uqda khula
waqt dariya hai lekin ye KHud
ek samundar mein ja girta hai
us samundar ki jaanib hai
hasti ka sara safar
aankh ne aaj tak jitne manzar bhi dekhe
wo sab us ke
apne tarashida the
aur dil mein dhaDakta hua
tajrid-e-wahm-o-guman ke siwa kuchh nahin
aarzu-e-gham-e-agahi aisi arzan nahin
zist ke dusre raston ki tarah
rah-e-kar-e-junun itni aasan nahin
hai bulandi ki jaanib agar zindagi ka safar
phir to kuchh aur hain manzilen aadmi ke liye
jin ke har gam par, zindagi ke liye
hai sabaat-e-abad muntazir
aap-apni nafi ke amal se
guzarna paDega use
mahbas-e-ab-o-gil se
nikalna paDega use
- Book : Zehn-e-Jadeed (Pg. 182)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.