idrak
vo merī ruuh kā maqsūd-o-faḳhr-e-maujūdāt
usī ke nuur se raushan hai jalva-gāh-e-sifāt
sikhā rahī hai ḳhirad tujh ko fann-e-shīsha-garī
ajab nahīñ jo pareshāñ ho kārobār-e-hayāt
har ek zarre meñ haiñ laakh bijliyāñ ai dost
nigāh-e-shauq na ho jaa.e markaz-e-āfāt
sun ai farefta-e-qissa-hā-e-hijr-o-visāl
amīq-tar haiñ samundar se zindagī ke nikāt
ḳhudī meñ Duub ke hangāma aazmā ho jā
ḳhudī na ho to na soz-e-yaqīñ na soz-e-hayāt
mirī nigāh ḳhurāfāt-e-māddī pe nahīñ
ḳhirad hai past haqīqat hai arfa.a'ud-darajāt
nazar milā ki batā.ūñ ye zindagī kyā hai
na ho ḳhumār to baḌhtā nahīñ mazāq-e-hayāt
zamīn-e-shor meñ bāġh-e-hayāt kar ta.amīr
yaqīn-o-azm se hāsil hai aadmī ko sabāt
sukūn-e-dīda-e-tishna haiñ mauja-hā-e-sarāb
ḳhudā kare ki na TuuTe tilism-e-lāt-o-manāt
wo meri ruh ka maqsud-o-faKHr-e-maujudat
usi ke nur se raushan hai jalwa-gah-e-sifat
sikha rahi hai KHirad tujh ko fann-e-shisha-gari
ajab nahin jo pareshan ho karobar-e-hayat
har ek zarre mein hain lakh bijliyan ai dost
nigah-e-shauq na ho jae markaz-e-afat
sun ai farefta-e-qissa-ha-e-hijr-o-visal
amiq-tar hain samundar se zindagi ke nikat
KHudi mein Dub ke hangama aazma ho ja
KHudi na ho to na soz-e-yaqin na soz-e-hayat
meri nigah KHurafat-e-maddi pe nahin
KHirad hai past haqiqat hai arfa'ud-darajat
nazar mila ki bataun ye zindagi kya hai
na ho KHumar to baDhta nahin mazaq-e-hayat
zamin-e-shor mein bagh-e-hayat kar tamir
yaqin-o-azm se hasil hai aadmi ko sabaat
sukun-e-dida-e-tishna hain mauja-ha-e-sarab
KHuda kare ki na TuTe tilism-e-lat-o-manat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.