id
farhat-e-dil rāhat-e-jāñ aish-e-paiham ke liye
iid aa.ī ban ke rāhat saare aalam ke liye
ḳhushk ab angūr ke sharbat se tar hone lage
haath sab ke baḌh rahe haiñ sāġhar-e-jam ke liye
aaj jī-bhar kar pilānā aur piinā chāhiye
tiis din tarse haiñ ik ik qatra-e-yam ke liye
dostoñ ko har taraf sāmān-e-rāhat hai nasīb
ġham hai dushman ke liye dushman banā ġham ke liye
be-takalluf tifl-e-shoḳh-o-shaiḳh-e-shaibb-o-mard-o-zan
aaj mashġhūl-e-tarab haiñ lutf-e-bāham ke liye
majlis-e-vāz aaj to hotī nazar aatī nahīñ
hazrat-e-vā.iz abas koshāñ haiñ koram ke liye
kal hameñ mil jā.egā gar hauz-e-kausar hī kahīñ
aaj kyoñ pyāse raheñ ham aish-e-mub.ham ke liye
eid ke din chāhiye shukr-e-ḳhudā zikr-e-rasūl
vaqt kyoñ zaa.e.a kareñ ham zer aur bam ke liye
ā.īye sun lījiye hai aaj duniyā-e-suḳhan
gosh-bar-āvāz in ash.ār-e-mulham ke liye
farhat-e-dil rahat-e-jaan aish-e-paiham ke liye
id aai ban ke rahat sare aalam ke liye
KHushk ab angur ke sharbat se tar hone lage
hath sab ke baDh rahe hain saghar-e-jam ke liye
aaj ji-bhar kar pilana aur pina chahiye
tis din tarse hain ek ek qatra-e-yam ke liye
doston ko har taraf saman-e-rahat hai nasib
gham hai dushman ke liye dushman bana gham ke liye
be-takalluf tifl-e-shoKH-o-shaiKH-e-shaibb-o-mard-o-zan
aaj mashghul-e-tarab hain lutf-e-baham ke liye
majlis-e-waz aaj to hoti nazar aati nahin
hazrat-e-waiz abas koshan hain koram ke liye
kal hamein mil jaega gar hauz-e-kausar hi kahin
aaj kyon pyase rahen hum aish-e-mubham ke liye
eid ke din chahiye shukr-e-KHuda zikr-e-rasul
waqt kyon zaea karen hum zer aur bam ke liye
aaiye sun lijiye hai aaj duniya-e-suKHan
gosh-bar-awaz in ashaar-e-mulham ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.