id ka chand
lo phir ufuq pe aaya nazar iid kā hilāl
phir yaad aaya mujh ko koī paikar-e-jamāl
aane lage haiñ zehn meñ maazī ke phir ḳhayāl
betāb ho ke kar hī diyā dil ne ye savāl
is saal bhī kisī kī mujhe ho sakegī diid
is saal bhī 'zafar' ye kaho ho sakegī eid
sun kar savāl dil kā maiñ ranjūr ho gayā
patthar se jaise shīsha koī chuur ho gayā
pī kar ġham-e-hayāt ko maḳhmūr ho gayā
utrā nasha to kahne pe majbūr ho gayā
kyā us kī eid hogī jo bichhḌā ho yaar se
sūkhe hue shajar ko ġharaz kyā bahār se
lo phir ufuq pe aaya nazar id ka hilal
phir yaad aaya mujh ko koi paikar-e-jamal
aane lage hain zehn mein mazi ke phir KHayal
betab ho ke kar hi diya dil ne ye sawal
is sal bhi kisi ki mujhe ho sakegi did
is sal bhi 'zafar' ye kaho ho sakegi eid
sun kar sawal dil ka main ranjur ho gaya
patthar se jaise shisha koi chur ho gaya
pi kar gham-e-hayat ko maKHmur ho gaya
utra nasha to kahne pe majbur ho gaya
kya us ki eid hogi jo bichhDa ho yar se
sukhe hue shajar ko gharaz kya bahaar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.