id ka din
aaj kā din kaisā bā-raunaq hai bachcho vaah vaah
mard būḌhe hoñ ki bachche jā rahe haiñ eid-gāh
aaj kā din ham ne paayā roze rakh kar ek maah
roza-dāroñ ke liye allāh kā in.aam hai
aaj kā din hai ḳhushī kā iid jis kā naam
chāñd dekhā ham ne kal sūraj ke chhup jaane ke ba.ad
chhup gayā phir vo bhī jaldī jalva dikhlāne ke ba.ad
ham ne chillā kar kahā masjid se ghar aane ke ba.ad
iid kal hī ho rahī hai ittilā.a-e-ām hai
aaj kā din hai ḳhushī kā iid jis kā naam hai
niiñd bhī aa.e nahīñ jaage ḳhushī meñ raat bhar
aane vaalī sub.h par thī bas tasavvur kī nazar
ham ne koshish bhī nahīñ kī niiñd kī ye maan kar
rat-jage ke roz āḳhir niiñd kā kyā kaam hai
aaj kā din hai ḳhushī kā iid jis kā naam hai
ġhusl kar ke aaj pahne ham ne vo kapḌe na.e
iid ke din ke liye hī the jo silvā.e ga.e
saath meñ abbū ke ham bhī eid-gāh ruḳhsat hue
ham ne dekhā har zabāñ par zikr-e-rab har gaam hai
aaj kā din hai ḳhushī kā iid jis kā naam hai
aaj phūloñ kī tarah sab ke hī chehre the khile
dī mubārakbād un ko bhī the ki jin se gile
koī apnā ho parāyā ho gale sab se mile
mel ho sab se yahī to maqsad-e-islām hai
aaj kā din hai ḳhushī kā iid jis kā naam hai
iid kā khānā thā sub.hān-allāh kaisā lā-javāb
thiiñ siva.iyāñ qorma shiir aur biryānī kabāb
ham uThe ḳhush-zā.eqa khānoñ se ho kar faizyāb
Dish seva.iyoñ kī bahut marġhūb ḳhās-o-ām hai
aaj kā din hai ḳhushī kā iid jis kā naam hai
koī daulat-mand insāñ ho ki ho koī ġharīb
koī rishte-dār ham-sāya ho yā koī raqīb
iid vo hai jis meñ hāsil ho ḳhushī sab ko nasīb
dar-haqīqat iid kā 'sāhil' yahī paiġhām hai
aaj kā din hai ḳhushī kā iid jis kā naam hai
aaj ka din kaisa ba-raunaq hai bachcho wah wah
mard buDhe hon ki bachche ja rahe hain eid-gah
aaj ka din hum ne paya roze rakh kar ek mah
roza-daron ke liye allah ka inam hai
aaj ka din hai KHushi ka id jis ka nam
chand dekha hum ne kal suraj ke chhup jaane ke baad
chhup gaya phir wo bhi jaldi jalwa dikhlane ke baad
hum ne chilla kar kaha masjid se ghar aane ke baad
id kal hi ho rahi hai ittilaa-e-am hai
aaj ka din hai KHushi ka id jis ka nam hai
nind bhi aae nahin jage KHushi mein raat bhar
aane wali subh par thi bas tasawwur ki nazar
hum ne koshish bhi nahin ki nind ki ye man kar
rat-jage ke roz aaKHir nind ka kya kaam hai
aaj ka din hai KHushi ka id jis ka nam hai
ghusl kar ke aaj pahne hum ne wo kapDe nae
id ke din ke liye hi the jo silwae gae
sath mein abbu ke hum bhi eid-gah ruKHsat hue
hum ne dekha har zaban par zikr-e-rab har gam hai
aaj ka din hai KHushi ka id jis ka nam hai
aaj phulon ki tarah sab ke hi chehre the khile
di mubarakbaad un ko bhi the ki jin se gile
koi apna ho paraya ho gale sab se mile
mel ho sab se yahi to maqsad-e-islam hai
aaj ka din hai KHushi ka id jis ka nam hai
id ka khana tha subhan-allah kaisa la-jawab
thin siwaiyan qorma shir aur biryani kabab
hum uThe KHush-zaeqa khanon se ho kar faizyab
Dish sewaiyon ki bahut marghub KHas-o-am hai
aaj ka din hai KHushi ka id jis ka nam hai
koi daulat-mand insan ho ki ho koi gharib
koi rishte-dar ham-saya ho ya koi raqib
id wo hai jis mein hasil ho KHushi sab ko nasib
dar-haqiqat id ka 'sahil' yahi paigham hai
aaj ka din hai KHushi ka id jis ka nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.