id
kaho ye muġhannī se gaa.e chalā jā
navā-e-masarrat sunā.e chalā jā
masarrat ke muzhde ko laa.e chalā jā
zamāne ko be-ḳhud banā.e chalā jā
zamāne pe chhā.ī hai īd-e-masarrat
dul.han ban ke aa.ī hai īd-e-masarrat
munāsib hai kuchh intizām-e-masarrat
karūñ ḳhalq ko shād-kām-e-masarrat
liye jā.ūñ maiñ dil se nām-e-masarrat
salām-e-masarrat kalām-e-masarrat
masarrat bhī apnī jagah jhūmtī hai
qadam iid kā ab ḳhushī chūmtī hai
vatan kī mohabbat ke naġhme ko gā kar
harīfoñ ko apne gale se lagā kar
mohabbat se ġhairoñ ko qaabū meñ lā kar
jo rūThe hue haiñ unheñ bhī manā kar
manāo ḳhushī iid kī roza-dāro
dikhāo ḳhushī iid kī roza-dāro
kaho ye mughanni se gae chala ja
nawa-e-masarrat sunae chala ja
masarrat ke muzhde ko lae chala ja
zamane ko be-KHud banae chala ja
zamane pe chhai hai id-e-masarrat
dulhan ban ke aai hai id-e-masarrat
munasib hai kuchh intizam-e-masarrat
karun KHalq ko shad-kaam-e-masarrat
liye jaun main dil se nam-e-masarrat
salam-e-masarrat kalam-e-masarrat
masarrat bhi apni jagah jhumti hai
qadam id ka ab KHushi chumti hai
watan ki mohabbat ke naghme ko ga kar
harifon ko apne gale se laga kar
mohabbat se ghairon ko qabu mein la kar
jo ruThe hue hain unhen bhi mana kar
manao KHushi id ki roza-daro
dikhao KHushi id ki roza-daro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.