‘id ke din ka nauha
mirā beTā abhī tak jail meñ hai
manā.ūñ ‘iid kaise
maiñ kaise ‘iid kar luuñ
na.e kapḌe pahan luuñ
mirā beTā
ki jis kī 'umr aThārah se kam hai
vafā-paikar
farishtoñ sā
fazāoñ meñ sharāfat kī palā hai
maiñ us kī maañ huuñ
kaise ‘iid kar luuñ
mirā ma.asūm beTā jo
nahīñ vāqif zamāne kī havāoñ se
kabhī dekhī na thī us ne
ye firqoñ kī junūñ-ḳhezī
pas-e-parda mazāhib ke
ta'assub ne
hamāre munsifoñ kī bhī
basīrat chhīn lī hai aur
unheñ andhā banā Daalā
na thā mā'lūm ye sab kuchh
tasādum ho rahe the jab
vo bas az-rāh-e-hamdardī
faqat insāniyat insān ke naate
bachā.ī thiiñ ka.ī jāneñ
na jin ko jāntā pahchāntā thā vo
sabhī the ajnabī phir bhī
bachā laayā thā un ko Dūbne se gahre paanī meñ
yahī ik jurm thā us kā
jo ab tak jail meñ hai vo
maiñ kaise ‘iid kar luuñ
kis tarah pahnūñ na.e kapḌe
maiñ us kī maañ
manā.ūñ ‘iid kaise
mera beTa abhi tak jail mein hai
manaun ‘id kaise
main kaise ‘id kar lun
nae kapDe pahan lun
mera beTa
ki jis ki 'umr aThaarah se kam hai
wafa-paikar
farishton sa
fazaon mein sharafat ki pala hai
main us ki man hun
kaise ‘id kar lun
mera masum beTa jo
nahin waqif zamane ki hawaon se
kabhi dekhi na thi us ne
ye firqon ki junun-KHezi
pas-e-parda mazahib ke
ta'assub ne
hamare munsifon ki bhi
basirat chhin li hai aur
unhen andha bana Dala
na tha ma'lum ye sab kuchh
tasadum ho rahe the jab
wo bas az-rah-e-hamdardi
faqat insaniyat insan ke nate
bachai thin kai jaanen
na jin ko jaanta pahchanta tha wo
sabhi the ajnabi phir bhi
bacha laya tha un ko Dubne se gahre pani mein
yahi ek jurm tha us ka
jo ab tak jail mein hai wo
main kaise ‘id kar lun
kis tarah pahnun nae kapDe
main us ki man
manaun ‘id kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.