id
zabāñ par iid kā naġhma hai dil murjhāyā jaatā hai
laboñ par hai tabassum aur kaleja muñh ko aatā hai
ki nangā hai kisī kambaḳht kā jism aaj ke din bhī
kahīñ dībā-o-atlas kā amāma jagmagātā hai
gale milne kā sāmāñ aur ye paa.eñ baaġh kī saj-dhaj
yahāñ aish-o-masarrat kā sabaq dohrāyā jaatā hai
udhar us menD par is soch meñ baiThā hai ik dahqāñ
ki dekhe aaj kī Daalī meñ kyā in.aam paatā hai
koī dast-e-hinā.ī meñ liye hai tahniyat kā ḳhat
kahīñ tarsā huā ik haat uTh kar thartharātā hai
uThā.ī hai kisī ne ḳhair-maqdam ke liye chilman
kisī kamsin ko aaj us kā rañDāpā khaa.e jaatā hai
kahīñ to qahqahoñ se chhat uḌī jaatī hai aivāñ kī
kahīñ ummīd kā TuuTā sā dīpak TimTimātā hai
ye kaisī iid hai ai dost is ko aur kuchh kah le
ki sunte the hilāl-e-īd rotoñ ko hañsātā hai
zaban par id ka naghma hai dil murjhaya jata hai
labon par hai tabassum aur kaleja munh ko aata hai
ki nanga hai kisi kambaKHt ka jism aaj ke din bhi
kahin diba-o-atlas ka amama jagmagata hai
gale milne ka saman aur ye paen bagh ki saj-dhaj
yahan aish-o-masarrat ka sabaq dohraya jata hai
udhar us meinD par is soch mein baiTha hai ek dahqan
ki dekhe aaj ki Dali mein kya inam pata hai
koi dast-e-hinai mein liye hai tahniyat ka KHat
kahin tarsa hua ek hat uTh kar thartharaata hai
uThai hai kisi ne KHair-maqdam ke liye chilman
kisi kamsin ko aaj us ka ranDapa khae jata hai
kahin to qahqahon se chhat uDi jati hai aiwan ki
kahin ummid ka TuTa sa dipak TimTimata hai
ye kaisi id hai ai dost is ko aur kuchh kah le
ki sunte the hilal-e-id roton ko hansata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.