iman
apne kamzor īmān kī
puḳhtagī ke liye
apne andhe ḳhayālāt kī
raushnī ke liye
apne bosīda afkār kī
tāzgī ke liye
dhoñs se
zor se
aur bandūq se
be-gunāhoñ ke maqtal sajā.e ga.e
naujavānoñ ke shaffāf chehroñ pe
jañgal ugaa.e ga.e
madrase laḌkiyoñ ke jalā.e ga.e
ab unheñ zinda dargor karne kā ik marhala aur hai
amn kā
pyaar kā
bhā.ī-chāre kā
iḳhlās kā
aur tahammul kā zaḳhmī parinda
aaj bandūq kī nāliyoñ meñ paḌā so rahā hai
tazkira sirf īmān kā ho rahā hai
apne kamzor iman ki
puKHtagi ke liye
apne andhe KHayalat ki
raushni ke liye
apne bosida afkar ki
tazgi ke liye
dhons se
zor se
aur banduq se
be-gunahon ke maqtal sajae gae
naujawanon ke shaffaf chehron pe
jangal ugae gae
madrase laDkiyon ke jalae gae
ab unhen zinda dargor karne ka ek marhala aur hai
amn ka
pyar ka
bhai-chaare ka
iKHlas ka
aur tahammul ka zaKHmi parinda
aaj banduq ki naliyon mein paDa so raha hai
tazkira sirf iman ka ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.