in nukta ki hastam man
Interesting Fact
(Shab Khun, Illahabad)
tum ne mujh se
koī iqrār-e-rifāqat na kiyā
ye na kahā
tum se bichhaḌ jā.ūñ to zinda na rahūñ
maiñ ne tumheñ
ziist kā sarmāya
mirā hāsil-e-yak-umr-e-tamannā na kahā
is qadar jhuuT se dahshat-zada the ham
ki koī sach na kahā
maiñ ne bas itnā kahā
dekho ham aur tum is aag kā hissa haiñ
jo ḳhāshāk kī mānind jalātī hai hameñ
tum ne bas itnā kahā
dekho is aag meñ ham donoñ akele bhī haiñ
sāthī bhī haiñ
aur ham karte rahe umr-e-mah-o-sāl ke zaḳhmoñ kā shumār
kahkashāñ phīkī hai kuchh der kā mehmān hai chāñd
Dūbtī raat meñ Dhalte hue saa.e chup haiñ
merī shiryānoñ meñ yaḳh-basta lahū hairāñ hai
avvalīñ qurb kī ye aañch kahāñ se aa.ī
ajnabī kaise kahūñ
tum to mire dil ke nihāñ-ḳhāne meñ so.e hue har ḳhvāb kā chehra nikle
tum ne mujh se
koi iqrar-e-rifaqat na kiya
ye na kaha
tum se bichhaD jaun to zinda na rahun
main ne tumhein
zist ka sarmaya
mera hasil-e-yak-umr-e-tamanna na kaha
is qadar jhuT se dahshat-zada the hum
ki koi sach na kaha
main ne bas itna kaha
dekho hum aur tum is aag ka hissa hain
jo KHashak ki manind jalati hai hamein
tum ne bas itna kaha
dekho is aag mein hum donon akele bhi hain
sathi bhi hain
aur hum karte rahe umr-e-mah-o-sal ke zaKHmon ka shumar
kahkashan phiki hai kuchh der ka mehman hai chand
Dubti raat mein Dhalte hue sae chup hain
meri shiryanon mein yaKH-basta lahu hairan hai
awwalin qurb ki ye aanch kahan se aai
ajnabi kaise kahun
tum to mere dil ke nihan-KHane mein soe hue har KHwab ka chehra nikle
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 22)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.