ishwar pararthna
ai hamāre kibriyā tū ḳhāliq-o-ma.abūd hai
hast hai tū niist meñ mādūm meñ maujūd hai
shaukat-e-jāh-o-hasham hai manzil-e-maqsūd hai
apne bandoñ kī haqīqat tujh se kab mafqūd hai
ai ḳhudā ab tū zarā hindostāñ vāloñ ko dekh
haa.e tū bedād kī Thokar ke pāmāloñ ko dekh
zulm hai jaur-o-jafā hai har taraf bedād hai
gardish-e-dast-e-sitamgar se jahāñ barbād hai
dekhiye jis ko vahī maġhmūm hai nāshād hai
bachcha bachcha hind kā ab mā.il-e-fariyād hai
zulm kyā kyā ho rahe haiñ aaj māsūmoñ pe dekh
TūTtā kyā kyā sitam hai aaj mazlūmoñ pe dekh
jel-ḳhānoñ meñ hue jaate haiñ ab behāl se
saḳhtiyoñ se jabr se aur bhuuk kī haḌtāl se
kyā batā.eñ haal ai ḳhāliq zabān-e-hāl se
aa rahī hai ye sadā punjab se bangāl se
vaqf zindāñ kar diye haiñ be-gunāhoñ ke liye
naunihālān-e-vatan ke peshvāoñ ke liye
ik musībat ho to sah bhī leñ yahāñ bhar-mār hai
be-kasī-o-yās-o-hasrat darpa.e-āzār hai
gardanoñ pe teġh hai ḳhanjar hai aur talvār hai
aur bandūqoñ kī dil par goliyoñ kī maar hai
phir bhī ai bhagvān ham sīna-sipar haiñ dekh le
sirf tere naam par bāñdhe kamar haiñ dekh le
mehr kar apne karam kī apnī daulat de hameñ
zulm sahne ke liye behad tū quvvat de hameñ
daas sī tāqat de aur us sī shahādat de hameñ
laḌ mareñ bātil se haq par vo shujā.at de hameñ
zulm kī hastī miTā deñ nāla-e-shab-gīr se
phūñk deñ zulm-o-sitam ko koh-e-ātish-gīr se
hurriyat kā naam tak ab lab pe laanā jurm hai
na.ara-e-qaum-o-vatan tak ab lagānā jurm hai
kushtagān-e-sang-dil kā din manānā jurm hai
mādar-e-hindostāñ ko ġham sunānā jurm hai
hukm-e-qātil hai taḌapnā aur ronā hai manā
zaḳhm khānā hai ravā aur aah karnā hai manā
har taraf ho jazba-e-hubb-e-vatan shoa.la-fishāñ
gulḳhan-e-sozāñ nazar aa.e yahāñ kā har javāñ
haath meñ ho parcham-e-āzādī-e-hindostāñ
gā rahī hoñ giit āzādī kā har sū vādiyāñ
phir yaqīñ aa.e 'suḳhan' ye inqilāb hai zindābād
hindū-o-muslim kā haañ ab rang laayā hai jihād
ai hamare kibriya tu KHaliq-o-mabud hai
hast hai tu nist mein madum mein maujud hai
shaukat-e-jah-o-hasham hai manzil-e-maqsud hai
apne bandon ki haqiqat tujh se kab mafqud hai
ai KHuda ab tu zara hindostan walon ko dekh
hae tu bedad ki Thokar ke pamalon ko dekh
zulm hai jaur-o-jafa hai har taraf bedad hai
gardish-e-dast-e-sitamgar se jahan barbaad hai
dekhiye jis ko wahi maghmum hai nashad hai
bachcha bachcha hind ka ab mail-e-fariyaad hai
zulm kya kya ho rahe hain aaj masumon pe dekh
TuTta kya kya sitam hai aaj mazlumon pe dekh
jel-KHanon mein hue jate hain ab behaal se
saKHtiyon se jabr se aur bhuk ki haDtal se
kya bataen haal ai KHaliq zaban-e-haal se
aa rahi hai ye sada punjab se bangal se
waqf zindan kar diye hain be-gunahon ke liye
naunihaalan-e-watan ke peshwaon ke liye
ek musibat ho to sah bhi len yahan bhar-mar hai
be-kasi-o-yas-o-hasrat darpae-azar hai
gardanon pe tegh hai KHanjar hai aur talwar hai
aur banduqon ki dil par goliyon ki mar hai
phir bhi ai bhagwan hum sina-sipar hain dekh le
sirf tere nam par bandhe kamar hain dekh le
mehr kar apne karam ki apni daulat de hamein
zulm sahne ke liye behad tu quwwat de hamein
das si taqat de aur us si shahadat de hamein
laD maren baatil se haq par wo shujaat de hamein
zulm ki hasti miTa den nala-e-shab-gir se
phunk den zulm-o-sitam ko koh-e-atish-gir se
hurriyat ka nam tak ab lab pe lana jurm hai
nara-e-qaum-o-watan tak ab lagana jurm hai
kushtagan-e-sang-dil ka din manana jurm hai
madar-e-hindostan ko gham sunana jurm hai
hukm-e-qatil hai taDapna aur rona hai mana
zaKHm khana hai rawa aur aah karna hai mana
har taraf ho jazba-e-hubb-e-watan shoala-fishan
gulKHan-e-sozan nazar aae yahan ka har jawan
hath mein ho parcham-e-azadi-e-hindostan
ga rahi hon git aazadi ka har su wadiyan
phir yaqin aae 'suKHan' ye inqilab hai zindabaad
hindu-o-muslim ka han ab rang laya hai jihad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.