ijazat chahiye hum ko
ijāzat chāhiye ham ko tumhāre ḳhāl-o-ḳhad oḌheñ
tumhāre husn ke bargad ke saa.e
do ghaḌī ruk kar
hayāt-e-jāvedāñ paa.eñ
aur aise meñ kahīñ ḳhud par
tumheñ bhī mehrbāñ paa.eñ
ijāzat chāhiye ham ko
tumhārī zulf se apnī nazar kī Doriyāñ bāñdheñ
vahī dekheñ jo tum dekho
aur aise meñ tire jhumkoñ se kuchh sargoshiyāñ kar leñ
tirī chunrī ko chhū leñ aur sitāroñ sā chamak uTTheñ
falak pe duur tak tere hī qadmoñ ke nishāñ DhūñDeñ
hameñ manzil se kyā lenā hameñ raste se kyā lenā
haiñ tere 'ishq ke bande
hameñ apnā banā lenā
hameñ apnā banā lenā
ijazat chahiye hum ko tumhaare KHal-o-KHad oDhen
tumhaare husn ke bargad ke sae
do ghaDi ruk kar
hayat-e-jawedan paen
aur aise mein kahin KHud par
tumhein bhi mehrban paen
ijazat chahiye hum ko
tumhaari zulf se apni nazar ki Doriyan bandhen
wahi dekhen jo tum dekho
aur aise mein tere jhumkon se kuchh sargoshiyan kar len
teri chunri ko chhu len aur sitaron sa chamak uTThen
falak pe dur tak tere hi qadmon ke nishan DhunDen
hamein manzil se kya lena hamein raste se kya lena
hain tere 'ishq ke bande
hamein apna bana lena
hamein apna bana lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.