ijazat ho to tumko pyar kar lun
dil-e-pazh-murda ko gulzār kar luuñ
mohabbat ko gale kā haar kar luuñ
javānī husn se sarshār kar luuñ
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
mujhe duniyā kī daulat de rahā hai
ye paiġhām-e-masarrat de rahā hai
tumhārā husn dāvat de rahā hai
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
tamannāoñ ke bādal chhā rahe haiñ
javānī ko mirī taḌpā rahe haiñ
mire jazbāt umDe aa rahe haiñ
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
gulābī aañkh meñ Dore paḌe haiñ
papoTe bhī to bojhal ho rahe haiñ
patā dil kā tumhāre de rahe haiñ
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
hai merī jaan tishna dil hai pyāsā
mujhe dekhoge yuuñ kab tak taḌaptā
karam ab to karam mujh par ḳhudārā
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
uThā diije bas ab parda hayā kā
hai dil kā ye taqāze par taqāzā
zarā sī haañ se ban jā.egī duniyā
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
tumhāre husn meñ tābindagī hai
sitāroñ jaisī is meñ raushnī hai
kashish hai aur is meñ dilkashī hai
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
milī hai muddatoñ meñ mujh ko ḳhalvat
baḌe arse meñ jaagī hai ye qismat
banā do mere ġham ko ab to rāhat
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
mirī behad tabī.at chāhtī hai
hamesha kī ye daulat chāhtī hai
tumhārī bas ijāzat chāhtī hai
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
tumhārā ruup aafat Dhā rahā hai
ye ik armān bantā jā rahā hai
mire pahlū meñ dil lalchā rahā hai
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
mohabbat ne machā dī dil meñ halchal
kiyā hai zabt ne betāb bekal
bas ai rūh-e-ravān-e-shauq-e-'afzal'
ijāzat ho to tum ko pyaar kar luuñ
dil-e-pazh-murda ko gulzar kar lun
mohabbat ko gale ka haar kar lun
jawani husn se sarshaar kar lun
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
mujhe duniya ki daulat de raha hai
ye paigham-e-masarrat de raha hai
tumhaara husn dawat de raha hai
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
tamannaon ke baadal chha rahe hain
jawani ko meri taDpa rahe hain
mere jazbaat umDe aa rahe hain
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
gulabi aankh mein Dore paDe hain
papoTe bhi to bojhal ho rahe hain
pata dil ka tumhaare de rahe hain
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
hai meri jaan tishna dil hai pyasa
mujhe dekhoge yun kab tak taDapta
karam ab to karam mujh par KHudara
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
uTha dije bas ab parda haya ka
hai dil ka ye taqaze par taqaza
zara si han se ban jaegi duniya
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
tumhaare husn mein tabindagi hai
sitaron jaisi is mein raushni hai
kashish hai aur is mein dilkashi hai
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
mili hai muddaton mein mujh ko KHalwat
baDe arse mein jagi hai ye qismat
bana do mere gham ko ab to rahat
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
meri behad tabiat chahti hai
hamesha ki ye daulat chahti hai
tumhaari bas ijazat chahti hai
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
tumhaara rup aafat Dha raha hai
ye ek arman banta ja raha hai
mere pahlu mein dil lalcha raha hai
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
mohabbat ne macha di dil mein halchal
kiya hai zabt ne betab bekal
bas ai ruh-e-rawan-e-shauq-e-'afzal'
ijazat ho to tum ko pyar kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.