ijazat
vo kahte haiñ
maiñ kabhī zinda nahīñ thā
is liye na vo merī hañsī ke baare meñ kuchh batā sakte haiñ
na āñsuoñ ke baare meñ
yā ye ki jab maiñ chaltā thā
to mere paañv zamīñ par Thiik tarah se
paḌte bhī the yā nahīñ
unhoñ ne hamesha mujhe be-jān hī paayā
aise
ki merī nabz rukī huī thī
dil sākit
aur jism siyāh paḌ chukā thā
lekin merī āñkheñ puurī tarah khulī huī thiiñ
jin se unheñ ḳhauf aatā thā
lekin rafta rafta
un kā ḳhauf raf.a hotā gayā
un kā subūt ye hai
ki vo apnī bekār ashiyā
merī taraf uchhāl dete the
kabhī vaslī kā ḳhālī Dubā
ainak kī TuuTī huī kamānī
yā be taale kī koī chābī
agarche is baat se vo puurī tarah āgāh the
ki aisā karte hue
vo ek laash kī be-hurmatī kar rahe the
lekin ab vo is baat ke goyā aadī ho ga.e the
aisā karte hue
unheñ kisī qism kī jhijak
yā sharmindagī nahīñ hotī thī
shāyad unhoñ ne kisī vaqt merī laash ko
kahīñ Thikāne lagāne ke baare meñ bhī sochā ho
par aisā kar na paa.e hoñ
shāyad kisī ne unheñ aisā karne se rok diyā ho
shāyad vo merī khulī huī āñkheñ dekh kar Dar ga.e hoñ
shāyad vo ḳhud apnī nabzeñ TaTolne
apnī dhaḌkaneñ sunñe
aur apne jism meñ rūnumā hone vaalī tabdīliyoñ se
burī tarah ḳhā.if hone lage hoñ
apne is ḳhauf par qaabū paane ke liye
shāyad unhoñ ne apnī be-kār ashiyā
merī taraf uchhālnī shurūa kar dī hoñ
shāyad yuuñ vo apne liye
kisī na.e maz.hab kī buniyād Daal rahe hoñ
jis meñ unheñ
lāshoñ kī be-hurmatī kī khulī chhūT de dī ga.ī ho
maiñ in kī kisī ġhalat fahmī ko duur karne kī koshish nahīñ karūñgā
ki mere maslak meñ
lāshoñ kī be-hurmatī kī koī gunjā.ish nahīñ
zindoñ kī bhī nahīñ
wo kahte hain
main kabhi zinda nahin tha
is liye na wo meri hansi ke bare mein kuchh bata sakte hain
na aansuon ke bare mein
ya ye ki jab main chalta tha
to mere panw zamin par Thik tarah se
paDte bhi the ya nahin
unhon ne hamesha mujhe be-jaan hi paya
aise
ki meri nabz ruki hui thi
dil sakit
aur jism siyah paD chuka tha
lekin meri aankhen puri tarah khuli hui thin
jin se unhen KHauf aata tha
lekin rafta rafta
un ka KHauf rafa hota gaya
un ka subut ye hai
ki wo apni bekar ashiya
meri taraf uchhaal dete the
kabhi wasli ka KHali Duba
ainak ki TuTi hui kamani
ya be tale ki koi chabi
agarche is baat se wo puri tarah aagah the
ki aisa karte hue
wo ek lash ki be-hurmati kar rahe the
lekin ab wo is baat ke goya aadi ho gae the
aisa karte hue
unhen kisi qism ki jhijak
ya sharmindagi nahin hoti thi
shayad unhon ne kisi waqt meri lash ko
kahin Thikane lagane ke bare mein bhi socha ho
par aisa kar na pae hon
shayad kisi ne unhen aisa karne se rok diya ho
shayad wo meri khuli hui aankhen dekh kar Dar gae hon
shayad wo KHud apni nabzen TaTolne
apni dhaDkanen sunne
aur apne jism mein runuma hone wali tabdiliyon se
buri tarah KHaif hone lage hon
apne is KHauf par qabu pane ke liye
shayad unhon ne apni be-kar ashiya
meri taraf uchhaalni shurua kar di hon
shayad yun wo apne liye
kisi nae mazhab ki buniyaad Dal rahe hon
jis mein unhen
lashon ki be-hurmati ki khuli chhuT de di gai ho
main in ki kisi ghalat fahmi ko dur karne ki koshish nahin karunga
ki mere maslak mein
lashon ki be-hurmati ki koi gunjaish nahin
zindon ki bhi nahin
- Book : aaj (Pg. 351)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.