ijazat
tumhāre pairoñ pe merī āñkheñ
gar rakhne kī ijāzat de do
to maiñ bhī thoḌā jī luuñ
maiñ bhī kuchh ġhote khā luuñ
tere paa.el ko chhūne se
gar tum mujhe man.a na karo
to maiñ bhī Dūbūñ paanī meñ
ubhrūñ aur
phir se Duubā karūñ
tere ḳhayāl ko merī jeboñ meñ
gar tum rakhne do mujhe
to ye safar halkā sā lage
maiñ chalūñ puurā din aur
ḳhvāboñ tale soyā karūñ
tumhaare pairon pe meri aankhen
gar rakhne ki ijazat de do
to main bhi thoDa ji lun
main bhi kuchh ghote kha lun
tere pael ko chhune se
gar tum mujhe mana na karo
to main bhi Dubun pani mein
ubhrun aur
phir se Duba karun
tere KHayal ko meri jebon mein
gar tum rakhne do mujhe
to ye safar halka sa lage
main chalun pura din aur
KHwabon tale soya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.