ek aur jang
ik na.ī jang kā āġhāz kareñ
ḳhuub laḌeñ
nasl-dar-nasl laḌeñ pal ko bhī pīchhe na haTeñ
rang se nuur se phūloñ se bhare bam le kar
'ālamī jang laḌeñ
jis ke laḌne se zamīñ rang meñ nahlā jaa.e
jabr kī raat kaTe aur bahār aa jaa.e
is qadar jang laḌeñ jī ko qarār aa jaa.e
is qadar jang ki qudrat ko bhī pyaar aa jaa.e
jis qadar jald ho is jang kā āġhāz kareñ
ab faqat pyaar faqat pyaar faqat pyaar kareñ
ek nai jang ka aaghaz karen
KHub laDen
nasl-dar-nasl laDen pal ko bhi pichhe na haTen
rang se nur se phulon se bhare bam le kar
'alami jang laDen
jis ke laDne se zamin rang mein nahla jae
jabr ki raat kaTe aur bahaar aa jae
is qadar jang laDen ji ko qarar aa jae
is qadar jang ki qudrat ko bhi pyar aa jae
jis qadar jald ho is jang ka aaghaz karen
ab faqat pyar faqat pyar faqat pyar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.