ek bar Tahalti phir aae
ik sīmīñ-badan ik tauba-shikan hai mahv-e-ḳhirām station par
māh-e-tābāñ māh-e-raushan māh-e-kāmil māh-e-anvar
iThlātī huī bal khātī huī āñchal pakḌe muñh ko moḌe
kuchh se bhiḌtī kuchh se kaTtī kuchh dil joḌe kuchh dil toḌe
madfūn hazāroñ ke armāñ ubhre hue gore shānoñ meñ
majrūh paḌe hoñge kitne in pardesī insānoñ meñ
kaalī matvālī āñkhoñ meñ pinhāñ be-rut kī barsāteñ
bebāk nazar kī shoḳhī meñ ḳhvābīda gunāhoñ kī rāteñ
fitrat kā sunahrā tohfa hai ye husn-o-ishq ke aalam meñ
yā tasvīroñ kī malika hai rūmān ke rangīñ album meñ
vo rafta-rafta ab merī nazroñ se chhuptī jaatī hai
ab station ke us jānib rahgīroñ ko bahkātī hai
purvā ke ik jhoñke kī tarah guzrī dil kī ābādī se
kaliyoñ ko be-mahkā.e hue chal dī hasrat kī vaadī se
dariyā kī ik mauj-e-sīmīñ sāhil se Takrā kar chal dī
barsāt ke dhuñdle bādal meñ ik barq sī lahrā kar chal dī
in chalte-phirte sāyoñ se ulfat kī tamanna kaun kare
jo apne bas se bāhar hoñ phir un kī parvā kaun kare
lekin haañ itnī ḳhvāhish hai ai kaash jo puurī ho jaa.e
allāh kare vo doshīza ik baar Tahaltī phir aa.e
ek simin-badan ek tauba-shikan hai mahw-e-KHiram station par
mah-e-taban mah-e-raushan mah-e-kaamil mah-e-anwar
iThlati hui bal khati hui aanchal pakDe munh ko moDe
kuchh se bhiDti kuchh se kaTti kuchh dil joDe kuchh dil toDe
madfun hazaron ke arman ubhre hue gore shanon mein
majruh paDe honge kitne in pardesi insanon mein
kali matwali aankhon mein pinhan be-rut ki barsaten
bebak nazar ki shoKHi mein KHwabida gunahon ki raaten
fitrat ka sunahra tohfa hai ye husn-o-ishq ke aalam mein
ya taswiron ki malika hai ruman ke rangin album mein
wo rafta-rafta ab meri nazron se chhupti jati hai
ab station ke us jaanib rahgiron ko bahkati hai
purwa ke ek jhonke ki tarah guzri dil ki aabaadi se
kaliyon ko be-mahkae hue chal di hasrat ki wadi se
dariya ki ek mauj-e-simin sahil se Takra kar chal di
barsat ke dhundle baadal mein ek barq si lahra kar chal di
in chalte-phirte sayon se ulfat ki tamanna kaun kare
jo apne bas se bahar hon phir un ki parwa kaun kare
lekin han itni KHwahish hai ai kash jo puri ho jae
allah kare wo doshiza ek bar Tahalti phir aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.