ek be-ant wajud
ik be-ant vajūd hai is kā
gahre kaale maḳhmal aisā
jis par lākhoñ arboñ āñkheñ
naqsh huī haiñ
in āñkhoñ meñ
maiñ ik aisī aañkh huuñ
jis ne
ek hī pal meñ
saarā manzar
aur manzar ke pīchhe kā sab ḳhālī manzar
dekh liyā hai
taknā is ne siikh liyā hai
par vo gahrā kaalā maḳhmal
us ko is se ġharaz nahīñ hai
kaun sī aañkh ko bīnā.ī kā daan milā hai
kyā is kā anjām huā hai
ek be-ant wajud hai is ka
gahre kale maKHmal aisa
jis par lakhon arbon aankhen
naqsh hui hain
in aankhon mein
main ek aisi aankh hun
jis ne
ek hi pal mein
sara manzar
aur manzar ke pichhe ka sab KHali manzar
dekh liya hai
takna is ne sikh liya hai
par wo gahra kala maKHmal
us ko is se gharaz nahin hai
kaun si aankh ko binai ka dan mila hai
kya is ka anjam hua hai
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 257)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.