ek jugnu ke sath
bhaag rahī hai chanchal laḌkī ik jugnū ke saath
Daalī Daalī phailātī hai apne komal haath
dekh rahe haiñ phuul aur paude
baaġh ke ye ma.asūm tamāshe
chanchal laḌkī ye kyā jaane
khule haiñ qudrat ke ā.īne
bhaag rahī hai chanchal laḌkī ik jugnū ke saath
Daalī Daalī phailātī hai apne komal haath
Daale nain meñ kājal laḌkī
apnī dhun meñ be-kal laḌkī
phailā.e hai āñchal laḌkī
dauḌ rahī hai chanchal laḌkī
bhaag rahī hai chanchal laḌkī ik jugnū ke saath
Daalī Daalī phailātī hai apne komal haath
jugnū us ko dauḌātā hai
paas aa kar bhī muḌ jaatā hai
shāḳh meñ us ko uljhātā hai
bhaa.ī ban kar itrātā hai
bhaag rahī hai chanchal laḌkī ik jugnū ke saath
Daalī Daalī phailātī hai apne komal haath
bhag rahi hai chanchal laDki ek jugnu ke sath
Dali Dali phailati hai apne komal hath
dekh rahe hain phul aur paude
bagh ke ye masum tamashe
chanchal laDki ye kya jaane
khule hain qudrat ke aaine
bhag rahi hai chanchal laDki ek jugnu ke sath
Dali Dali phailati hai apne komal hath
Dale nain mein kajal laDki
apni dhun mein be-kal laDki
phailae hai aanchal laDki
dauD rahi hai chanchal laDki
bhag rahi hai chanchal laDki ek jugnu ke sath
Dali Dali phailati hai apne komal hath
jugnu us ko dauData hai
pas aa kar bhi muD jata hai
shaKH mein us ko uljhata hai
bhai ban kar itraata hai
bhag rahi hai chanchal laDki ek jugnu ke sath
Dali Dali phailati hai apne komal hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.