ek kahani sunogi
raat
jañgal ghanā
vo garajtī havā
do daraḳhtoñ kī koñpal bharī Dāliyāñ
ek se ek is tarah
Takrā ga.iiñ
jaise barsoñ judā.ī meñ jalte badan
baat puurī suno tum to sharmā ga.iiñ
aag paidā huī
peḌ jalne lage
shor barpā huā
har taraf dhuāñ hī dhuāñ
aur phir
na pūchho ki phir kyā huā
raakh ke Dher ko
ab munāsib nahīñ chheḌnā
raat
jangal ghana
wo garajti hawa
do daraKHton ki konpal bhari Daliyan
ek se ek is tarah
Takra gain
jaise barson judai mein jalte badan
baat puri suno tum to sharma gain
aag paida hui
peD jalne lage
shor barpa hua
har taraf dhuan hi dhuan
aur phir
na puchho ki phir kya hua
rakh ke Dher ko
ab munasib nahin chheDna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.