ek laDki
ye dīvānī sī ik laḌkī
hasīñ bhī dilrubā bhī hai
abhī ma.asūm hai lekin
vafā se āshnā bhī hai
mire ghar kī haiñ dīvāreñ
usī ke rañg se raushan
usī ke dam se pākīza
mirī ummīd kā āñgan
jabīñ us kī sahar jaisī
azaañ detī huī āñkheñ
nazar kā imtihāñ letī
shab-e-tārīk sī zulfeñ
nigāheñ zindagī jaisī
adā.eñ chāñdnī jaisī
vafā us kī mirī ḳhātir
asā-e-mūsavī jaisī
taqaddus huur ke jaisā
sarāpā nuur ke jaisā
mukammal husn hai us kā
mire dastūr ke jaisā
nigāhoñ ke liye merī
ye hai tanvīr-e-mustaqbil
ye sub.h-e-nau kī manzil hai
ye hai tasvīr-e-mustaqbil
har ik andāz hai us kā
dhanak manzar kā ham-sāya
'valī' ye lāDlī beTī
mirī hastī kā sarmāya
ye dīvānī to hai lekin
yahī dānish-nishāñ hogī
isī kī god meñ pal kar
na.ī duniyā javāñ hogī
ye diwani si ek laDki
hasin bhi dilruba bhi hai
abhi masum hai lekin
wafa se aashna bhi hai
mere ghar ki hain diwaren
usi ke rang se raushan
usi ke dam se pakiza
meri ummid ka aangan
jabin us ki sahar jaisi
azan deti hui aankhen
nazar ka imtihan leti
shab-e-tarik si zulfen
nigahen zindagi jaisi
adaen chandni jaisi
wafa us ki meri KHatir
asa-e-musawi jaisi
taqaddus hur ke jaisa
sarapa nur ke jaisa
mukammal husn hai us ka
mere dastur ke jaisa
nigahon ke liye meri
ye hai tanwir-e-mustaqbil
ye subh-e-nau ki manzil hai
ye hai taswir-e-mustaqbil
har ek andaz hai us ka
dhanak manzar ka ham-saya
'wali' ye laDli beTi
meri hasti ka sarmaya
ye diwani to hai lekin
yahi danish-nishan hogi
isi ki god mein pal kar
nai duniya jawan hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.