ek nai duniya ka sabab
is se pahle kī ham
ek ġhamnāk kahānī ke kirdār ho jaa.eñ
aao apne hisse kī dhuup le kar
havā ho jaa.eñ
kisī aur sayyāre meñ jā baseñ
aadam aur havvā ho jaa.eñ
phir ḳhatā kareñ ḳhudā.ī se ghabrā kar
aur is jurm-e-mohabbat kī sazā paa.eñ
ik na.ī duniyā kā sabab ho jaa.eñ
is se pahle ki hum
ek ghamnak kahani ke kirdar ho jaen
aao apne hisse ki dhup le kar
hawa ho jaen
kisi aur sayyare mein ja basen
aadam aur hawwa ho jaen
phir KHata karen KHudai se ghabra kar
aur is jurm-e-mohabbat ki saza paen
ek nai duniya ka sabab ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.