maiñ ne us se kal ye kahā
tum english ke teacher ho
english ḳhuub paḌhāte ho
Keats kī nazm sunāte ho
shakespeare bhī paḌhāte ho
tum ne kabhī ye sochā hai
dil meñ utarte lahje meñ
tum tashrīh jo karte ho
kitnā dhyān maiñ detī huuñ
Keats ke baare kahte ho
kitne dilkash lamhoñ meñ
us ne nazmeñ kiiñ taḳhlīq
kyā hī kamāl thā shā.ir
tum jo havāla dete ho
titanic kā william kā
long fellow Henry kī aur
kabhī jo qaazī iisā kī
nazmeñ mujhe sunāte ho
in sab kā matlab kyā hai
hañs kar vo ye kahne lagā
kyoñ hotī ho tum be-zār
kyā merī bāteñ tum ko
bor hamesha kartī haiñ
kabhī to paḌh kar dekho tum
un kī sundar nazmoñ ko
phir ye nazmeñ qaarī par
ek jahān ma.ānī kā
jaise vā kar detī haiñ
tum bhī karogī phir mahsūs
pyaar bhare lamhoñ ko 'duā'
maiñ ne javāban us se kahā
suno suno tum merī baat
pyaar kī sundar bātoñ meñ
qisse aur kahānī meñ
dil saare aa jaate haiñ
guzre hue lamhe saare
lauT ke phir nahīñ aate haiñ
phir mujh se vo kahne lagā
ek alag hī manzar hai
in kī nazmoñ ke andar
rang-birangī ik duniyā
hai in nazmoñ meñ ābād
maiñ ne kahā us se lekin
in kī nazmoñ se merā
kyā lenā kyā denā hai
mere liye tum sab kuchh ho
in ke qisse rahne do
mat hī sunāo tum mujh ko
tum ḳhud bhī ik shā.ir ho
mere baare meñ tum ne
koī nazm likhī hai kyā
kahne lagā ye sun kar vo
haañ likkhī to hai ik nazm
maiñ ne tumhāre baare meñ
jis meñ tumhārī āñkhoñ kā
ik ḳhush-rang havāla hai
jis meñ tumhāre aur mere
pyaar kī madhur kahānī hai
maiñ ne kahā mere shā.ir
tum bas itnā batlāo
lamhe tum se kyā kahte
kyā kyā bāteñ karte haiñ
hañs kar vo ye kahne lagā
maiñ bātoñ ke dhāgoñ se
lamhe muqayyad kartā huuñ
dāman-e-dil bhar letā huuñ
tum se mohabbat karnā to inhī ko paḌh kar sīkhā hai
tere komal hāthoñ ko
dhīre se chhū letā huuñ
tere lams kī komaltā
so.e ḳhvāb jagātī hai
be-ḳhud ho kar maiñ tujh ko
bāñhoñ meñ bhar letā huuñ
pyaar tujhe kar letā huuñ
main ne us se kal ye kaha
tum english ke teacher ho
english KHub paDhate ho
Keats ki nazm sunate ho
shakespeare bhi paDhate ho
tum ne kabhi ye socha hai
dil mein utarte lahje mein
tum tashrih jo karte ho
kitna dhyan main deti hun
Keats ke bare kahte ho
kitne dilkash lamhon mein
us ne nazmen kin taKHliq
kya hi kamal tha shair
tum jo hawala dete ho
titanic ka william ka
long fellow Henry ki aur
kabhi jo qazi isa ki
nazmen mujhe sunate ho
in sab ka matlab kya hai
hans kar wo ye kahne laga
kyon hoti ho tum be-zar
kya meri baaten tum ko
bor hamesha karti hain
kabhi to paDh kar dekho tum
un ki sundar nazmon ko
phir ye nazmen qari par
ek jahan maani ka
jaise wa kar deti hain
tum bhi karogi phir mahsus
pyar bhare lamhon ko 'dua'
main ne jawaban us se kaha
suno suno tum meri baat
pyar ki sundar baaton mein
qisse aur kahani mein
dil sare aa jate hain
guzre hue lamhe sare
lauT ke phir nahin aate hain
phir mujh se wo kahne laga
ek alag hi manzar hai
in ki nazmon ke andar
rang-birangi ek duniya
hai in nazmon mein aabaad
main ne kaha us se lekin
in ki nazmon se mera
kya lena kya dena hai
mere liye tum sab kuchh ho
in ke qisse rahne do
mat hi sunao tum mujh ko
tum KHud bhi ek shair ho
mere bare mein tum ne
koi nazm likhi hai kya
kahne laga ye sun kar wo
han likkhi to hai ek nazm
main ne tumhaare bare mein
jis mein tumhaari aankhon ka
ek KHush-rang hawala hai
jis mein tumhaare aur mere
pyar ki madhur kahani hai
main ne kaha mere shair
tum bas itna batlao
lamhe tum se kya kahte
kya kya baaten karte hain
hans kar wo ye kahne laga
main baaton ke dhagon se
lamhe muqayyad karta hun
daman-e-dil bhar leta hun
tum se mohabbat karna to inhi ko paDh kar sikha hai
tere komal hathon ko
dhire se chhu leta hun
tere lams ki komalta
soe KHwab jagati hai
be-KHud ho kar main tujh ko
banhon mein bhar leta hun
pyar tujhe kar leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.