ek sawal KHuda-e-bartar se
ham is zamīn o āsmāñ ke darmiyāñ
hairān haiñ aur sar-garāñ
ai ḳhudā-e-do-jahāñ!
ai harf-e-kun ke rāz-dāñ!
ai mamba-e-kaun-o-makāñ!
itnā to batlā de
koī aisī bhī duniyā hai
jahāñ insāniyat kī saaf peshānī pe
ilm o fan kī pau phaTtī ho aur
fikr o nazar ke ā.īnoñ se
nuur kī kirneñ ubaltī hoñ
diloñ meñ ḳhair o barkat kī duā.eñ gūñjtī hoñ
sub.h dam ākāsh ke nīlam tale
jām-e-haqīqat pī ke jiine kī tamannā raqs kartī ho
jahāñ ehsās ke kohre se
fikr-e-nau ke taare jhilmilāte hoñ
jahāñ hoñToñ pe harf-e-āgahī kī jot ho
āñkhoñ se hairat
zehn se vijdān ke chashme ubalte hoñ,
jahāñ rātoñ ke sannāTe meñ
dil mahv-e-niyāz-o-nāz rahtā ho
fazā-e-be-karāñ ke sahar kā hamrāz rahtā ho
mohabbat, ishq, dildārī, vafā unvān-e-hastī hoñ
uḳhuvvat, narm-guftārī atā-e-paimāna-edil hoñ
ḳhudā-e-lam-yazal batlā
koī aisī bhī duniyā hai
kahīñ aisā bhī hotā hai
siyāsat kī fusūñ-sāzī
tijārat kī ziyāñ-kārī
havas kī garm-bāzārī
kisī ayyār-e-quvvat kī jahāñ-dāri
meñ dam ghuTtā hai
har lamha azāb-e-jāvedāñ mālūm hotā hai
ḳhudā-vand! ye tere saada dil bande kahāñ jā.eñ?''
hum is zamin o aasman ke darmiyan
hairan hain aur sar-garan
ai KHuda-e-do-jahan!
ai harf-e-kun ke raaz-dan!
ai mamba-e-kaun-o-makan!
itna to batla de
koi aisi bhi duniya hai
jahan insaniyat ki saf peshani pe
ilm o fan ki pau phaTti ho aur
fikr o nazar ke aainon se
nur ki kirnen ubalti hon
dilon mein KHair o barkat ki duaen gunjti hon
subh dam aakash ke nilam tale
jam-e-haqiqat pi ke jine ki tamanna raqs karti ho
jahan ehsas ke kohre se
fikr-e-nau ke tare jhilmilate hon
jahan honTon pe harf-e-agahi ki jot ho
aankhon se hairat
zehn se wijdan ke chashme ubalte hon,
jahan raaton ke sannaTe mein
dil mahw-e-niyaz-o-naz rahta ho
faza-e-be-karan ke sahar ka hamraaz rahta ho
mohabbat, ishq, dildari, wafa unwan-e-hasti hon
uKHuwwat, narm-guftari ata-e-paimana-edil hon
KHuda-e-lam-yazal batla
koi aisi bhi duniya hai
kahin aisa bhi hota hai
siyasat ki fusun-sazi
tijarat ki ziyan-kari
hawas ki garm-bazari
kisi ayyar-e-quwwat ki jahan-dari
mein dam ghuTta hai
har lamha azab-e-jawedan malum hota hai
KHuda-wand! ye tere sada dil bande kahan jaen?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.