ek sitara aadarsh ka
ai tamāshā-gāh-e-ālam ro.e tū
māh-e-nau
ham dekhte tujh ko kis armān se
dekhte hī dekhte tahlīl ho jaanā tirā
dekhte ham
phir bhī tujh ko DhūñD rahte usī
suune ufuq meñ ai hilāl
vaqt ke dariyā meñ māhī-gīr ne
Daalā hai jaal
kis liye sāhil kā patthar ban ke
māhī-gīr
baiThe hoñ yahāñ
thaah meñ Duube hue vo mehr-o-māh
ban chuke hoñge ġhubār-e-rā.egāñ
yā tamāshā sīna-e-shamshīr se bāhar dam-e-shamshīr kā
maujoñ meñ bahtā
dekhte rahte ho tum
be-sabab āñkhoñ se kab
yuuñ ma.e chhalaktī hai
nashāt diid kī
kaun ho tum
aur gāgar apnī le jaatī ho
kis āñgan kī aur
vo suhānā sā ujālā
jhūmtā sāgar ke paar
gul-badāmāñ ek āñgan shaam ke taare kā hai
merā nahīñ
vo ghanā ban bhī purānā āshram hai
jhilmilātī os kā
merā nahīñ
maiñ to gūñge ḳhāk-dāñ kī
an-kahī
ai ajnabī
an-kahī se kahnī sunñī tak pahuñchnā
sahal kab hai
darmiyān haa.il milegā
ik ḳhalā-e-be-karāñ
soch lo
hai vaqt ab bhī
varna phir ai
bānū-e-ma.asūm-o-zīrak
ranjisheñ kitnī khaḌī haiñ raah meñ
phir na sāhil thā
na vo sāhil kā patthar
jo nazar aayā
vo tā-hadd-e-nazar phailā huā
ik pur-āshob-o-pur-asrār
bahr-e-nā-paidā kanār
ham ne insāñ kā janm paayā
sitāre gā rahe the
kis amal ke ijrā meñ
paayā sitāro
tum ne insāñ kā janm
ham to insāñ ke janm meñ bhī sitāre hī rahe
be-karāñ nīlāhaToñ meñ
rū jhamak uThtī hai rah rah kar
anā
kahkashāñ-dar-kahkashāñ bikhre savābit
aur sayyāroñ ke beach
fāsle jazb-o-kashish ke
un kī paimūda hadeñ
baḌhte baḌhte zaarī daa.im
banātunna.ash kī
ghaTte ghaTte varta dām-e-fanā
dhuum ketū be-muhārī meñ magan
ek jhālā sā baras kar khul gayā chiñgāriyoñ kā
kitnī tahzībeñ shahābī TimTimā kar bujh ga.iiñ
nagriyāñ bābul sī mahvash
shahpar-e-afrashtagāñ uljhe hue
jin kī surīlī taan haiñ
un kī ġharqābī kahānī hai
purānī bhī na.ī bhī
un kī apnī aatmā kī thaah se
umDe hue tūfān haiñ
apnī fitrat ke tajallī-zār se
TuuT kar girte kavākib
jā samāte haiñ ḳhudā jaane kahāñ
jā-ba-jā azdārahan kaale dahāne
jin kā muñh sab kuchh nigal kar phir khulā
der kitnī ho chukī
tab kahīñ jā kar vo ik din ye samajh paa.e
ki sannāTā
ḳhud apne dil ke andar kā thā
bāhar kā na thā
rustgār az-panja-e-bedardī-e-lail-o-nahār
band āñkhoñ ke nagar meñ
kaif-e-ālamgīr kā armāñ milā
jis se vāvailā nasheboñ kā na Takrāyā kabhī
vo auj-e-bām
sarsarī us se guzar jaane meñ pinhāñ āfiyat
ai rah-navard
ai nazar-var ai dil-āsā
rauzan-e-zulmāt hast-o-būd
ai paik-e-jahāñ-paimā ḳhizar
kiil sī dahlīz meñ paivast ye kaisī chamak hai
dhuul ajrām-e-falak kī
gutthiyāñ mauhūm sī rishtoñ kī ye kaisī haiñ
suljhāna nahīñ zinhār varna
hū kā aalam hai namūdān kī
sulajh jaane ke baad
sabza-e-naurasta ke parde meñ saare uuñch niich
pāTte rahne ke ai ānand
bahte pāniyoñ kī aatmā
kis ke haiñ ye ustuḳhvāñ
malbe meñ Dhalte ustuḳhvāñ
ḳhāk-e-uftāda kī aglī aur pichhlī
har parat ke
be-zabāñ ta.amīr-e-kār
mehrbāñ sā ik tabassum
aur shā.ista ishārā ghar kī jānib
jaise ghar ke bām-o-dar par ho navishta
har savāl-e-nā-shakebā kā javāb
phir udhar dekhā to sab kuchh
dasht-e-iḳhfā maiñ thā adiim
ġhaar kuTiyā.eñ machāneñ
ghar gharauñde
saare āsār-o-mazāhir
guuñj meñ apnī samo kar
le uḌī baañg chiil
vo safar be-sañg-e-mīl
ik adhūre āsmānī ḳhvāb kā
un kī āñkhoñ meñ ḳhumār
zeb-tan gard-o-ġhubār
jaise miTTī meñ sanī
dhaḌkaneñ dhartī kī
nar-nārī kī tajsīmoñ meñ ālam-e-āshkār
aur phir uftād par uftād
duur uftādgī
shāhrāheñ nā-tarāshīda sabhī ḳhushkī tirī kī
aur kāġhaz bhī pata kā gum-shuda
be-ḳhabar nikle havā-e-dasht ke jhoñke sabhī
aur sahal-añgār taa.ir bhī na de paa.e surāġh
hai kahāñ arfāt
vo ik vādī-e-dūr-darāz
raah meñ āñkheñ bichhā.e
phuul nargis ke mile
raah meñ mahke gulāb aur raah meñ laale khile
diid kī lekin unheñ raftār fursat bhī to de
munkashif kartī huī
be-nām jal-pariyoñ ko
gahre pāniyoñ meñ ek lamhātī tarañg
be-nishān ban-bāsiyoñ par
Tahniyoñ meñ aas ke māman kisī
bhūle bhaTke zamzama kī raah takte
dvaar khole jāgte haiñ
raat kaalī barshgālī
jugnuoñ kī nā-gahāñ yalġhār
phir gahrā añdherā
aur jibillat kī athāh
shaktiyoñ kā
ban meñ Derā
man meñ Derā
sāhiloñ kī ret meñ sauñpe hue
ik vadī.at kī tarah hashrāt-e-āb
ḳhol apne toḌte haiñ
aur be-rahbarī hī āhista-ḳhirām
apne man kī chāñdnī meñ
reñgne lagte haiñ
shor-e-āb bhī kahte haiñ vo
ik samt hai
ik samt hai sehr-e-kashish bhī
sab dishā.eñ nā-gahāñ
ik saath bhartī haiñ huñkārā
bhūlne lagte haiñ jab ma.asūm zaa.er
jal dishā
kitne ḳhūñ-ālūd panje
kitne ḳhanjar ghaat meñ haiñ
phir bhī jaarī yātrā
vo hazar be-barg-o-sāmāñ
ghar ḳhas-o-ḳhāshāk kī rachnā adhūrī
jis meñ fitrat
jhāñktī rahtī ki dekhe
apne aa.iin to ufuq kā jamāl
bazm-ārā ā.ina-dar-ā.ina
zard phūloñ par thiraktī titliyoñ kā
pairahan piilā sunahrā
ghaas par lahrā.e TiDDoñ kī harī dhānī qabā
rañgrezī dahr ke is daur kī
guzrā hai jo
rafta-ziyād
jab na thā insān kā mazkūra ashiyā meñ shumār
is taraf pahle kabhī dekhā na thā
ab jo dekhā hai to jaise
phir sirā āġhāz kā haath aa rahā hai
ye vahī anjām hai
dhaḌkā thā jis kā
hast-o-būd insān kī jab dahr meñ thī beshanāḳht
rahīn-ḳhāna
ḳhānamāñ-barbād ai bāñg-e-rahīl
tū ne dekhā hai kabhī
shaffāf uthle pāniyoñ kī tah meñ
mūñge ke jazīroñ kā dayār
vo samay kī niiv thī garm-o-gudāz
muddatoñ ta.amīr kī dīvār apnī
saada dil āñgan ne jis par
ye tabassum bhī kise miltā hai
jis ke soz se
ma.adan zar-e-gul kā pighaltā hī rahā
sāñchoñ meñ Dhaltā hī rahā
nasloñ kā faulād-e-garāñ
ḳhānamāñ-barbād ai bāñg-e-rahīl
zanān-e-misr
ek ibrānī payambar-zāda ko
ham ne jis ghar kā bharam rakhne kī ḳhātir
dāḳhil-e-zindāñ kiyā thā
kaise āḳhir us ko bait-e-ankabūt
maan leñ ham be-dalīl
vo haqīqat kī siloñ par
qaa.em ik ta.amīr kaisī thī
vo saqf-o-bām kaise the tujhe ma.alūm kyā
mahfileñ ārāsta pairāsta
jin kā tahammul sehr-kār
ḳhushbuoñ ke tāne-bāne bunñe vaale
mujmiroñ kī dhvaniyoñ se aaj bhī
mahke mahke haiñ tamaddun ke dayār
aaj bhī āsār dete haiñ gavāhī
naqsh-kārī kaisī anmiT thī vo
qismat kī lakīroñ se juḌī
ham ne ibrānī payambar-zādoñ se
patthar tarashvā.e ki ba.ad-az-marg bhī
pāya-e-ahrām meñ pinhāñ rahe ghar kī asaas
la.al-o-gauhar ḳhazāne
shahd-o-gandum se zurūf uble hue
taḳht-o-tāj-o-mohr-e-shāhī ke nigahbāñ
harba-hā-e-āhan-o-faulād
aur daste ġhulāmān-e-javāñ ke
kāhinoñ kī phūñk
hāmānoñ kī tadbīr-e-siyāsat meñ zahr-e-halāhil
pāsbānī meñ magan
so rahe haiñ an-ginat fir.aun
ai bād-e-sabā āhista chal
bāñg-e-rahīl
shevan tauq-o-salāsil
kāḳh-o-aivāñ se nikal kar
kū-ba-kū
yam-ba-yam dariyā-ba-dariyā jū-ba-jū
vo bisāt-e-raqs darbāroñ se ho kar
phailtī daftar-ba-daftar
anjuman-dar-anjuman ghar ghar bichhī
pattī pattī meñ utar aa.ī thī kaḌvāhaT
jaḌeñ thiiñ niim kī
ai rahīn-ḳhāna
kyā tujh ko sunā.ī dī kabhī
is duā kī guuñj
jis ko sun ke vo tasvīr-e-āb
niil
shāhī qasr kī
Duubī Duubī sīḌhiyoñ se duur
ThāTheñ mārtā
dariyā-e-nā-paida kanār
ai tamasha-gah-e-alam roe tu
mah-e-nau
hum dekhte tujh ko kis arman se
dekhte hi dekhte tahlil ho jaana tera
dekhte hum
phir bhi tujh ko DhunD rahte usi
sune ufuq mein ai hilal
waqt ke dariya mein mahi-gir ne
Dala hai jal
kis liye sahil ka patthar ban ke
mahi-gir
baiThe hon yahan
thah mein Dube hue wo mehr-o-mah
ban chuke honge ghubar-e-raegan
ya tamasha sina-e-shamshir se bahar dam-e-shamshir ka
maujon mein bahta
dekhte rahte ho tum
be-sabab aankhon se kab
yun mae chhalakti hai
nashat did ki
kaun ho tum
aur gagar apni le jati ho
kis aangan ki aur
wo suhana sa ujala
jhumta sagar ke par
gul-badaman ek aangan sham ke tare ka hai
mera nahin
wo ghana ban bhi purana aashram hai
jhilmilati os ka
mera nahin
main to gunge KHak-dan ki
an-kahi
ai ajnabi
an-kahi se kahni sunni tak pahunchna
sahal kab hai
darmiyan hail milega
ek KHala-e-be-karan
soch lo
hai waqt ab bhi
warna phir ai
banu-e-masum-o-zirak
ranjishen kitni khaDi hain rah mein
phir na sahil tha
na wo sahil ka patthar
jo nazar aaya
wo ta-hadd-e-nazar phaila hua
ek pur-ashob-o-pur-asrar
bahr-e-na-paida kanar
hum ne insan ka janm paya
sitare ga rahe the
kis amal ke ijra mein
paya sitaro
tum ne insan ka janm
hum to insan ke janm mein bhi sitare hi rahe
be-karan nilahaTon mein
ru jhamak uThti hai rah rah kar
ana
kahkashan-dar-kahkashan bikhre sawabit
aur sayyaron ke beach
fasle jazb-o-kashish ke
un ki paimuda haden
baDhte baDhte zari daim
banatunnash ki
ghaTte ghaTte warta dam-e-fana
dhum ketu be-muhaari mein magan
ek jhaala sa baras kar khul gaya chingariyon ka
kitni tahziben shahabi TimTima kar bujh gain
nagriyan babul si mahwash
shahpar-e-afrashtagan uljhe hue
jin ki surili tan hain
un ki gharqabi kahani hai
purani bhi nai bhi
un ki apni aatma ki thah se
umDe hue tufan hain
apni fitrat ke tajalli-zar se
TuT kar girte kawakib
ja samate hain KHuda jaane kahan
ja-ba-ja azdarahan kale dahane
jin ka munh sab kuchh nigal kar phir khula
der kitni ho chuki
tab kahin ja kar wo ek din ye samajh pae
ki sannaTa
KHud apne dil ke andar ka tha
bahar ka na tha
rustgar az-panja-e-bedardi-e-lail-o-nahaar
band aankhon ke nagar mein
kaif-e-alamgir ka arman mila
jis se wawaila nashebon ka na Takraya kabhi
wo auj-e-baam
sarsari us se guzar jaane mein pinhan aafiyat
ai rah-naward
ai nazar-war ai dil-asa
rauzan-e-zulmat hast-o-bud
ai paik-e-jahan-paima KHizar
kil si dahliz mein paiwast ye kaisi chamak hai
dhul ajram-e-falak ki
gutthiyan mauhum si rishton ki ye kaisi hain
suljhana nahin zinhaar warna
hu ka aalam hai namudan ki
sulajh jaane ke baad
sabza-e-naurasta ke parde mein sare unch nich
paTte rahne ke ai aanand
bahte paniyon ki aatma
kis ke hain ye ustuKHwan
malbe mein Dhalte ustuKHwan
KHak-e-uftada ki agli aur pichhli
har parat ke
be-zaban tamir-e-kar
mehrban sa ek tabassum
aur shaista ishaara ghar ki jaanib
jaise ghar ke baam-o-dar par ho nawishta
har sawal-e-na-shakeba ka jawab
phir udhar dekha to sab kuchh
dasht-e-iKHfa main tha adim
ghaar kuTiyaen machanen
ghar gharaunde
sare aasar-o-mazahir
gunj mein apni samo kar
le uDi bang chil
wo safar be-sang-e-mil
ek adhure aasmani KHwab ka
un ki aankhon mein KHumar
zeb-tan gard-o-ghubar
jaise miTTi mein sani
dhaDkanen dharti ki
nar-nari ki tajsimon mein aalam-e-ashkar
aur phir uftad par uftad
dur uftadgi
shahrahen na-tarashida sabhi KHushki teri ki
aur kaghaz bhi pata ka gum-shuda
be-KHabar nikle hawa-e-dasht ke jhonke sabhi
aur sahal-angar tair bhi na de pae suragh
hai kahan arfat
wo ek wadi-e-dur-daraaz
rah mein aankhen bichhae
phul nargis ke mile
rah mein mahke gulab aur rah mein lale khile
did ki lekin unhen raftar fursat bhi to de
munkashif karti hui
be-nam jal-pariyon ko
gahre paniyon mein ek lamhati tarang
be-nishan ban-basiyon par
Tahniyon mein aas ke maman kisi
bhule bhaTke zamzama ki rah takte
dwar khole jagte hain
raat kali barshgali
jugnuon ki na-gahan yalghaar
phir gahra andhera
aur jibillat ki athah
shaktiyon ka
ban mein Dera
man mein Dera
sahilon ki ret mein saunpe hue
ek wadiat ki tarah hashraat-e-ab
KHol apne toDte hain
aur be-rahbari hi aahista-KHiram
apne man ki chandni mein
rengne lagte hain
shor-e-ab bhi kahte hain wo
ek samt hai
ek samt hai sehr-e-kashish bhi
sab dishaen na-gahan
ek sath bharti hain hunkara
bhulne lagte hain jab masum zaer
jal disha
kitne KHun-alud panje
kitne KHanjar ghat mein hain
phir bhi jari yatra
wo hazar be-barg-o-saman
ghar KHas-o-KHashak ki rachna adhuri
jis mein fitrat
jhankti rahti ki dekhe
apne aain to ufuq ka jamal
bazm-ara aaina-dar-aina
zard phulon par thirakti titliyon ka
pairahan pila sunahra
ghas par lahrae TiDDon ki hari dhani qaba
rangrezi dahr ke is daur ki
guzra hai jo
rafta-ziyaad
jab na tha insan ka mazkura ashiya mein shumar
is taraf pahle kabhi dekha na tha
ab jo dekha hai to jaise
phir sira aaghaz ka hath aa raha hai
ye wahi anjam hai
dhaDka tha jis ka
hast-o-bud insan ki jab dahr mein thi beshanaKHt
rahin-KHana
KHanaman-barbaad ai bang-e-rahil
tu ne dekha hai kabhi
shaffaf uthle paniyon ki tah mein
munge ke jaziron ka dayar
wo samay ki niw thi garm-o-gudaz
muddaton tamir ki diwar apni
sada dil aangan ne jis par
ye tabassum bhi kise milta hai
jis ke soz se
madan zar-e-gul ka pighalta hi raha
sanchon mein Dhalta hi raha
naslon ka faulad-e-garan
KHanaman-barbaad ai bang-e-rahil
zanan-e-misr
ek ibrani payambar-zada ko
hum ne jis ghar ka bharam rakhne ki KHatir
daKHil-e-zindan kiya tha
kaise aaKHir us ko bait-e-ankabut
man len hum be-dalil
wo haqiqat ki silon par
qaem ek tamir kaisi thi
wo saqf-o-baam kaise the tujhe malum kya
mahfilen aarasta pairasta
jin ka tahammul sehr-kar
KHushbuon ke tane-bane bunne wale
mujmiron ki dhwaniyon se aaj bhi
mahke mahke hain tamaddun ke dayar
aaj bhi aasar dete hain gawahi
naqsh-kari kaisi anmiT thi wo
qismat ki lakiron se juDi
hum ne ibrani payambar-zadon se
patthar tarashwae ki baad-az-marg bhi
paya-e-ahram mein pinhan rahe ghar ki asas
lal-o-gauhar KHazane
shahd-o-gandum se zuruf uble hue
taKHt-o-taj-o-mohr-e-shahi ke nigahban
harba-ha-e-ahan-o-faulad
aur daste ghulaman-e-jawan ke
kahinon ki phunk
hamanon ki tadbir-e-siyasat mein zahr-e-halahil
pasbani mein magan
so rahe hain an-ginat firaun
ai baad-e-saba aahista chal
bang-e-rahil
shewan tauq-o-salasil
kaKH-o-aiwan se nikal kar
ku-ba-ku
yam-ba-yam dariya-ba-dariya ju-ba-ju
wo bisat-e-raqs darbaron se ho kar
phailti daftar-ba-daftar
anjuman-dar-anjuman ghar ghar bichhi
patti patti mein utar aai thi kaDwahaT
jaDen thin nim ki
ai rahin-KHana
kya tujh ko sunai di kabhi
is dua ki gunj
jis ko sun ke wo taswir-e-ab
nil
shahi qasr ki
Dubi Dubi siDhiyon se dur
ThaThen marta
dariya-e-na-paida kanar
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 147)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.