Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sitaron bhari raat

Farrukh Zohra Gilani

ek sitaron bhari raat

Farrukh Zohra Gilani

MORE BYFarrukh Zohra Gilani

    ik sitāroñ se bharī ḳhvāb mahkār raat

    lawn meñ bikhrī huī chāñd bekal kirneñ

    vaqt sākin thā lamha thā koī Thahrā huā

    zehn meñ simTī huī soch ubharne lagī

    aañkh jhapkī to maiñ kyā dekhtī huuñ

    vus.at-e-shab pe vo chhāyā huā tanhā tanhā

    mujh ko apnā lagā

    merī jānib kisī baḌhte hue ik saa.e ne

    mujh ko chauñkā diyā

    mere aur chāñd ke mābain vo haa.il huā

    pyaar āñkhoñ meñ bahut ḳhvāb sajā.e us ne

    aur kuchh yaad nahīñ rasm mohabbat mujhe

    phir usī lamhe mire zehn ke ik goshe meñ

    ek anjāne se ehsās ne añgḌā.ī

    milne vaale ke bichhaḌne ghaḌī baaqī hai

    in rusūmāt ik aur kaḌī baaqī hai

    aur aisā huā

    phir vahī chāñd vahī maiñ huuñ vahī dard raat

    ek sitaron se bhari KHwab si mahkar si raat

    lawn mein bikhri hui chand ki bekal kirnen

    waqt sakin tha ya lamha tha koi Thahra hua

    zehn mein simTi hui soch ubharne si lagi

    aankh jhapki to main kya dekhti hun

    wusat-e-shab pe wo chhaya hua tanha tanha

    mujh ko apna sa laga

    meri jaanib kisi baDhte hue ek sae ne

    mujh ko chaunka sa diya

    mere aur chand ke mabain wo hail sa hua

    pyar aankhon mein bahut KHwab sajae us ne

    aur kuchh yaad nahin rasm mohabbat ki mujhe

    phir usi lamhe mere zehn ke ek goshe mein

    ek anjaane se ehsas ne angDai li

    milne wale ke bichhaDne ki ghaDi baqi hai

    in rusumat ki ek aur kaDi baqi hai

    aur aisa hi hua

    phir wahi chand wahi main hun wahi dard ki raat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now