ik-tara baje
ik-tārā baaje chhanan chhanan
jaago jaago
haañ suno suno
ye taan magan
ye dil dhaḌkan
ik-tārā baaje chhanan chhanan
jaago jaago
daatā ne tujhe dhanvān kiyā
jiinā tujh par āsān kiyā
jis galī meñ dukhiyā ro.egā
kab chain se koī so.egā
nādār kā jis ko dhyān nahīñ
vo patthar-dil insān nahīñ
dūjoñ ke kaam sañvār miyāñ
kuchh farz kā qarz utaar miyāñ
jaago jaago
haañ suno suno
ye taan magan ye dhaḌkan
ik-tārā baaje chhanan chhanan
ik-tara baje chhanan chhanan
jago jago
han suno suno
ye tan magan
ye dil dhaDkan
ik-tara baje chhanan chhanan
jago jago
data ne tujhe dhanwan kiya
jina tujh par aasan kiya
jis gali mein dukhiya roega
kab chain se koi soega
nadar ka jis ko dhyan nahin
wo patthar-dil insan nahin
dujon ke kaam sanwar miyan
kuchh farz ka qarz utar miyan
jago jago
han suno suno
ye tan magan ye dhaDkan
ik-tara baje chhanan chhanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.