Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tanha be-barg shajar

Wazir Agha

ek tanha be-barg shajar

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    kaun mujhe dukh de saktā hai

    dukh to mere andar kisht vīrāñ

    ik tanā be-barg shajar hai

    rut nāzuk lāñbī poreñ

    kirneñ ḳhushbū chaap havā.eñ

    jismoñ par jab reñgne phirne lagtī haiñ

    mere andar dukh soyā peḌ bhī jaag uThtā hai

    tañg masāmoñ ke ġhurfoñ se

    lambī nāzuk shāḳheñ phan phailā kar

    tan andhī shiryānoñ meñ qadam qadam chalne lagtī haiñ

    sharyānoñ se ragoñ ragoñ se nasoñ ke andar tak

    jaane lagtī haiñ

    phir vo garm lahū meñ mil kar

    ik ik baal jaḌ tak phailtī jaatī haiñ

    aur ye merā sadiyoñ purānā maskan ḳhākī maskan

    ḳhud bhī ek shajar ban jaatā hai

    vaqt qatra qatra Tapaktī

    surḳh zabāñ nok pe aa kar

    jam jaatā hai

    kaun mujhe dukh de sakta hai

    dukh to mere andar ki kisht viran ka

    ek tana be-barg shajar hai

    rut ki nazuk lanbi poren

    kirnen KHushbu chap hawaen

    jismon par jab rengne phirne lagti hain

    mere andar dukh ka soya peD bhi jag uThta hai

    tang masamon ke ghurfon se

    lambi nazuk shaKHen phan phaila kar

    tan ki andhi shiryanon mein qadam qadam chalne lagti hain

    sharyanon se ragon ragon se nason ke andar tak

    jaane lagti hain

    phir wo garm lahu mein mil kar

    ek ek baal ki jaD tak phailti jati hain

    aur ye mera sadiyon purana maskan KHaki maskan

    KHud bhi ek shajar ban jata hai

    waqt ki qatra qatra Tapakti

    surKH zaban ki nok pe aa kar

    jam jata hai

    Source :
    • Book : Nirdbaan (Pg. 57)
    • Author : Wazir Agha
    • Publication : Nusrat Anwar (1979)
    • Edition : 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now