ek udhaar si zindagi
tujh ko kho kar bachā hī kyā thā zindagī meñ khone ke liye
bas ik udhār sī zindagī jī rahā thā
terī yādoñ kā qarz liye
muaaf karnā terī yādoñ ko ham yuuñ hī bulā lete haiñ jis se ki ye sāñseñ chal sakeñ
shāyad tū bhuul ga.ī jo ik roz tū ne kahā thā ki jab zindagī vīrāniyoñ ke daur se guzarne lage
to
tū mujhe yaad kar lenā
muaaf karnā aaj phir tujhe itnā hī yaad kiyā
itnā hī terā naam liyā
jitnā har pal har ghaḌī har-vaqt maiñ tujhe yaad kiyā kartā thā
tujhe yaad hai na
jab āsmān meñ koī taarā TūTtā thā to jaldī se āñkheñ band karke duā māñgtī thī aur mujhe bhī aisā karne ko kahtī thī
par muaaf zarūr karnā aaj maiñ ne TūTte taare ko dekh kar koī duā nahīñ māñgī
kyūñki aaj maiñ tanhā thā
vahī khulā āsmān
vahī chamakte sitāre aur vahī maiñ thā
par tum nahīñ thī
tujh ko kho kar bacha hi kya tha zindagi mein khone ke liye
bas ek udhaar si zindagi ji raha tha
teri yaadon ka qarz liye
muaf karna teri yaadon ko hum yun hi bula lete hain jis se ki ye sansen chal saken
shayad tu bhul gai jo ek roz tu ne kaha tha ki jab zindagi viraniyon ke daur se guzarne lage
to
tu mujhe yaad kar lena
muaf karna aaj phir tujhe itna hi yaad kiya
itna hi tera nam liya
jitna har pal har ghaDi har-waqt main tujhe yaad kiya karta tha
tujhe yaad hai na
jab aasman mein koi tara TuTta tha to jaldi se aankhen band karke dua mangti thi aur mujhe bhi aisa karne ko kahti thi
par muaf zarur karna aaj main ne TuTte tare ko dekh kar koi dua nahin mangi
kyunki aaj main tanha tha
wahi khula aasman
wahi chamakte sitare aur wahi main tha
par tum nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.