ikai ka nirwan
chehroñ ke girdāb meñ har-sū
jin meñ ikaa.ī phañsī huī hai
mushtarakāt ke tūfānoñ meñ
fard kī kashtī ghirī huī hai
tanhā.ī detī hai sahārā
phir bhī nahīñ hotā kuchh hāsil
ḳhud ko agar patvār banā lo
duur nahīñ nirvān kā sāhil
chehron ke girdab mein har-su
jin mein ikai phansi hui hai
mushtarakat ke tufanon mein
fard ki kashti ghiri hui hai
tanhai deti hai sahaara
phir bhi nahin hota kuchh hasil
KHud ko agar patwar bana lo
dur nahin nirwan ka sahil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.