ikkiswin sadi ka ishq
mujhe aur tumheñ koī Dar nahīñ
na koī vāda-vafā karnā hai
na koī ummīd-e-charāġh jalānā hai
ek shādī thī farsūda rasm zamāne kī
vo marhala bhī tai kar chuke ham
apnī apnī jagah ham kitne mutma.in haiñ
ab milne bichhaḌne kā azaab hai kab
ab justujū visāl kaisā
ab lazzat-e-lams kī kise tamannā
na zamāne kī fikr
na logoñ kā ḳhauf
ham in tamām jazboñ se kitne aage nikal ga.e haiñ nā
hāthoñ kī poroñ meñ simaT aa.e haiñ
tum lamha lamha merā añg añg chhūte ho
maiñ bhī apne sirhāne tumhāre lafz piitī huuñ
uñglī ke ek ishāre par duniyā kitnī simaT aa.ī hai
ham ko kitnā qarīb le aa.ī hai
aur mujhe aur tumheñ kisī kā Dar nahīñ hai
kyuuñ ki maiñ ne bhī apne mobile kā password kisī ko nahīñ batāyā
mujhe aur tumhein koi Dar nahin
na koi wada-wafa karna hai
na koi ummid-e-charagh jalana hai
ek shadi thi farsuda rasm zamane ki
wo marhala bhi tai kar chuke hum
apni apni jagah hum kitne mutmain hain
ab milne bichhaDne ka azab hai kab
ab justuju visal kaisa
ab lazzat-e-lams ki kise tamanna
na zamane ki fikr
na logon ka KHauf
hum in tamam jazbon se kitne aage nikal gae hain na
hathon ki poron mein simaT aae hain
tum lamha lamha mera ang ang chhute ho
main bhi apne sirhane tumhaare lafz piti hun
ungli ke ek ishaare par duniya kitni simaT aai hai
hum ko kitna qarib le aai hai
aur mujhe aur tumhein kisi ka Dar nahin hai
kyun ki main ne bhi apne mobile ka password kisi ko nahin bataya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.