ilaj bil-misl
nashtar zaḳhm lagātā hai to nashtar se khulvātā huuñ
silvātā huuñ
phaner niil utārtā hai to manke meñ risvātā huuñ
khiñchvātā huuñ
paanī meñ garmī gholtā hai
to paanī kā ThanDā pyāla mañgvātā huuñ
jab shab-e-zinda-dārī meñ mai chaḌhtī hai
to sub.h subūhī kī sīḌhī lagvātā huuñ
aurat charkā detī hai to aurat ko bulvātā huuñ
dikhlātā huuñ
ik aadat ke ghaao pe dūsrī aadat bāñdhā kartā huuñ
maiñ aurat ke zaḳhm ke uupar aurat bāñdhā kartā huuñ
nashtar zaKHm lagata hai to nashtar se khulwata hun
silwata hun
phaner nil utarta hai to manke mein riswata hun
khinchwata hun
pani mein garmi gholta hai
to pani ka ThanDa pyala mangwata hun
jab shab-e-zinda-dari mein mai chaDhti hai
to subh subuhi ki siDhi lagwata hun
aurat charka deti hai to aurat ko bulwata hun
dikhlata hun
ek aadat ke ghao pe dusri aadat bandha karta hun
main aurat ke zaKHm ke upar aurat bandha karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.