ilm-e-sina
abbu-jān aksar kahte the
sach ko zarā mushkil aatī hai
fat.h magar mil jaatī hai
jaise bhī hālāt huuñ bad-tar
kisī ke aage jhuknā mat
zehn kā saudā karnā mat
ammī kab pīchhe rahtī thiiñ
vo bhī hamesha kahtī thiiñ
beTā dīn-o-maz.hab ko aur umda aḳhlāq ko tum
ammī jaan sā pyārā jaano lekin jhuuT aur makr fareb
bad-ahdī aur dil-āzārī
un se duurī rakhnā tum
yaad haiñ mujh ko vo bāteñ bhī maktab meñ jo aaġhā the
baḌe hī pyaar aur baḌī jatan se
ujle kāġhaz jaise dil pe
ham sab ke ye likhte the
mehnat diyānat achchhī bātoñ jur.at aur haq-goī ko
ilm kā hāsil merī izzat ghar vāloñ kī daulat samjho
bhayyā jo kam kam dikhte the
gaañv gaañv phirte rahte the
gande-ma.de logoñ ko bhūke-nañge bachchoñ ko
jaane kyā kyā sikhlāte the ham jaisā hī batlāte the
nahīñ kisī se nafrat karnā āzādī pe jaañ de denā
aur bhī kuchh kahte the vo
ye sab bāteñ bachpan kī haiñ
lekin ab to baap bhī huuñ maiñ
maktab ke aaġhā kī tarah se bachchoñ kā ustāz bhī huuñ maiñ
ammī jaan kī saarī bāteñ ab bhī mere zehn meñ haiñ
bhayyā ke ādarshoñ ko kabhī bhulā na paayā maiñ
par ab jo maiñ dekh rahā huuñ samāj meñ baste logoñ ko
ammī abbū kī bātoñ kā jo jo natīja bhog rahā huuñ
aaġhā ke anmol se motī dekh ke sab hañste haiñ log
bhayyā ke ādarsh ko bhī sab marā marā sā kahte haiñ
phir kaise ye saarī chīzeñ meñ apne bachchoñ ko duuñ
aisī gahrī tārīkī meñ ammī abbū aaġhā ke
haq aḳhlāq aur gyaan ke jugnū raushnī kyā phailā.eñge
yā ghup añdhere ke ajgar
chun chun ke unheñ khā jā.eñge
jab jab sochtā huuñ ye sab
dubidhā meñ paḌ jaatā huuñ
tab haule se dil meñ utar kar
ammī jaan kī rūh-e-muqaddas
chup ke se kah jaatī hai
beTe jab abbū ne maiñ ne
bhayyā aur aaġhā sāhab ne
apnī amānat dī thī tujh ko
tab bhī aise log the baste
tab bhī aisā ghup añdherā
aisī hī tārīkī thī
abbu-jaan aksar kahte the
sach ko zara mushkil aati hai
fath magar mil jati hai
jaise bhi haalat hun bad-tar
kisi ke aage jhukna mat
zehn ka sauda karna mat
ammi kab pichhe rahti thin
wo bhi hamesha kahti thin
beTa din-o-mazhab ko aur umda aKHlaq ko tum
ammi jaan sa pyara jaano lekin jhuT aur makr fareb
bad-ahdi aur dil-azari
un se duri rakhna tum
yaad hain mujh ko wo baaten bhi maktab mein jo aagha the
baDe hi pyar aur baDi jatan se
ujle kaghaz jaise dil pe
hum sab ke ye likhte the
mehnat diyanat achchhi baaton jurat aur haq-goi ko
ilm ka hasil meri izzat ghar walon ki daulat samjho
bhayya jo kam kam dikhte the
ganw ganw phirte rahte the
gande-made logon ko bhuke-nange bachchon ko
jaane kya kya sikhlate the hum jaisa hi batlate the
nahin kisi se nafrat karna aazadi pe jaan de dena
aur bhi kuchh kahte the wo
ye sab baaten bachpan ki hain
lekin ab to bap bhi hun main
maktab ke aagha ki tarah se bachchon ka ustaz bhi hun main
ammi jaan ki sari baaten ab bhi mere zehn mein hain
bhayya ke aadarshon ko kabhi bhula na paya main
par ab jo main dekh raha hun samaj mein baste logon ko
ammi abbu ki baaton ka jo jo natija bhog raha hun
aagha ke anmol se moti dekh ke sab hanste hain log
bhayya ke aadarsh ko bhi sab mara mara sa kahte hain
phir kaise ye sari chizen mein apne bachchon ko dun
aisi gahri tariki mein ammi abbu aagha ke
haq aKHlaq aur gyan ke jugnu raushni kya phailaenge
ya ghup andhere ke ajgar
chun chun ke unhen kha jaenge
jab jab sochta hun ye sab
dubidha mein paD jata hun
tab haule se dil mein utar kar
ammi jaan ki ruh-e-muqaddas
chup ke se kah jati hai
beTe jab abbu ne main ne
bhayya aur aagha sahab ne
apni amanat di thi tujh ko
tab bhi aise log the baste
tab bhi aisa ghup andhera
aisi hi tariki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.