ilm
ilm se baḌh ke kuchh bhī jahāñ meñ nahīñ
phuul aisā koī gulsitāñ meñ nahīñ
ilm allāh ne farz ham par kiyā
ilm se ham pe rāz-e-haqīqat khulā
ilm se hī milī ham ko rāh-e-vafā
ilm hai ibtidā ilm hai intihā
ilm se baḌh ke kuchh bhī jahāñ meñ nahīñ
phuul aisā koī gulistāñ meñ nahīñ
ilm se ham ko rāh-e-haqīqat milī
ilm par hai amal kī imārat khaḌī
ilm fikr-o-nazar ilm hai āgahī
ilm ehsās hai ilm hī zindagī
ilm se baḌh ke kuchh bhī jahāñ meñ nahīñ
phuul aisā koī gulsitāñ meñ nahīñ
ilm se baDh ke kuchh bhi jahan mein nahin
phul aisa koi gulsitan mein nahin
ilm allah ne farz hum par kiya
ilm se hum pe raaz-e-haqiqat khula
ilm se hi mili hum ko rah-e-wafa
ilm hai ibtida ilm hai intiha
ilm se baDh ke kuchh bhi jahan mein nahin
phul aisa koi gulistan mein nahin
ilm se hum ko rah-e-haqiqat mili
ilm par hai amal ki imarat khaDi
ilm fikr-o-nazar ilm hai aagahi
ilm ehsas hai ilm hi zindagi
ilm se baDh ke kuchh bhi jahan mein nahin
phul aisa koi gulsitan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.