ilm ka tarana
hai ilm hī se aabrū hai ilm hī se dil qavī
yahī hai dil kī raushnī yahī hai dil kā chain bhī
hai ilm hī meñ zindagī hai ilm hī se zindagī
ye ilm hī kā faiz hai ki aadmī hai aadmī
bulandiyoñ pe ilm kī chaḌhe chalo chaḌhe chalo
baḌhe chalo chale chalo chale chalo baḌhe chalo
kal jahāñ kī chal rahī hai ilm hī ke zor se
zamīn zar ugal rahī hai ilm hī ke zor se
ek ek shai sañbhal rahī hai ilm hī ke zor se
aTal balā bhī Tal rahī hai ilm hī ke zor se
bulandiyoñ pe ilm kī chaḌhe chalo chaḌhe chalo
baḌhe chalo chale chalo chale chalo baḌhe chalo
nazar uThā ke dekhiye isī kā jag meñ raaj hai
isī ke bal pe taḳht hai isī ke bal pe taaj hai
hai ilm hī se sarbuland gar koī samāj hai
yahī hai zar yahī guhar isī kī ehtiyāj hai
bulandiyoñ pe ilm kī chaḌhe chalo chaḌhe chalo
baḌhe chalo chale chalo chale chalo baḌhe chalo
hai mustaqil hunar ke baaġh meñ bahār ilm se
zamāne-bhar kā chal rahā hai kārobār ilm se
uThātā hai kisān naf.a be-shumār ilm se
jahān ban rahā hai aaj lāla-zār ilm se
bulandiyoñ pe ilm kī chaḌhe chalo chaḌhe chalo
baḌhe chalo chale chalo chale chalo baḌhe chalo
paḌhe likhe vatan ke naujavān hoshiyār hoñ
vatan se rah ke be-ḳhabar na ab gunāhgār hoñ
ḳhudī ko chhoḌ kar ḳhudā kī ḳhalq par nisār hoñ
jilā kuchh aisī ho ki sab ke jauhar āshkār hoñ
bulandiyoñ pe ilm kī chaḌhe chalo chaḌhe chalo
baḌhe chalo chale chalo chale chalo baḌhe chalo
chale vatan meñ ḳhuub daur sub.h-o-shām ilm kā
piyeñ ḳhushī se DaT ke jaam ḳhās-o-ām ilm kā
sune har ek har maqām par payām ilm kā
ho shahr shahr gaañv gaañv intizām ilm kā
bulandiyoñ pe ilm kī chaḌhe chalo chaḌhe chalo
baḌhe chalo chale chalo chale chalo baḌhe chalo
jahālat ek rog hai ḳhudā ise fanā kare
ḳhudā kī bārgāh meñ har ik yahī duā kare
har ek be-paḌhā likhā paḌhā kare likhā kare
sabhī paḌheñ sabhī paḌheñ ḳhudā kare ḳhudā kare
bulandiyoñ pe ilm kī chaḌhe chalo chaḌhe chalo
baḌhe chalo chale chalo chale chalo baḌhe chalo
hai ilm hi se aabru hai ilm hi se dil qawi
yahi hai dil ki raushni yahi hai dil ka chain bhi
hai ilm hi mein zindagi hai ilm hi se zindagi
ye ilm hi ka faiz hai ki aadmi hai aadmi
bulandiyon pe ilm ki chaDhe chalo chaDhe chalo
baDhe chalo chale chalo chale chalo baDhe chalo
kal jahan ki chal rahi hai ilm hi ke zor se
zamin zar ugal rahi hai ilm hi ke zor se
ek ek shai sanbhal rahi hai ilm hi ke zor se
aTal bala bhi Tal rahi hai ilm hi ke zor se
bulandiyon pe ilm ki chaDhe chalo chaDhe chalo
baDhe chalo chale chalo chale chalo baDhe chalo
nazar uTha ke dekhiye isi ka jag mein raj hai
isi ke bal pe taKHt hai isi ke bal pe taj hai
hai ilm hi se sarbuland gar koi samaj hai
yahi hai zar yahi guhar isi ki ehtiyaj hai
bulandiyon pe ilm ki chaDhe chalo chaDhe chalo
baDhe chalo chale chalo chale chalo baDhe chalo
hai mustaqil hunar ke bagh mein bahaar ilm se
zamane-bhar ka chal raha hai karobar ilm se
uThata hai kisan nafa be-shumar ilm se
jahan ban raha hai aaj lala-zar ilm se
bulandiyon pe ilm ki chaDhe chalo chaDhe chalo
baDhe chalo chale chalo chale chalo baDhe chalo
paDhe likhe watan ke naujawan hoshiyar hon
watan se rah ke be-KHabar na ab gunahgar hon
KHudi ko chhoD kar KHuda ki KHalq par nisar hon
jila kuchh aisi ho ki sab ke jauhar aashkar hon
bulandiyon pe ilm ki chaDhe chalo chaDhe chalo
baDhe chalo chale chalo chale chalo baDhe chalo
chale watan mein KHub daur subh-o-sham ilm ka
piyen KHushi se DaT ke jam KHas-o-am ilm ka
sune har ek har maqam par payam ilm ka
ho shahr shahr ganw ganw intizam ilm ka
bulandiyon pe ilm ki chaDhe chalo chaDhe chalo
baDhe chalo chale chalo chale chalo baDhe chalo
jahaalat ek rog hai KHuda ise fana kare
KHuda ki bargah mein har ek yahi dua kare
har ek be-paDha likha paDha kare likha kare
sabhi paDhen sabhi paDhen KHuda kare KHuda kare
bulandiyon pe ilm ki chaDhe chalo chaDhe chalo
baDhe chalo chale chalo chale chalo baDhe chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.